Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hilal-e-eid

Nisar Kubra Azimabadi

hilal-e-eid

Nisar Kubra Azimabadi

MORE BYNisar Kubra Azimabadi

    kyuuñ ishāra hai ufuq par aaj kis diid hai

    alvidā.a māh-e-ramazāñ vo hilāl-e-eid hai

    masjidoñ meñ sab jam.a ho jā.eñge ḳhurd-o-kalāñ

    duur ho dil kudūrat ye savāl-e-eid hai

    muslimoñ ke sar jhukeñ haiñ sajda-e-allāh meñ

    kyā uḳhuvvat sabaq hai kyā kamāl-e-eid hai

    aaj ġhorabā bhī amīroñ ke gale mil jā.eñge

    kuchh nahīñ tafrīq hogī ye visāl-e-eid hai

    hai musalmānoñ par vājib sadqa-e-eid-ul-fitr

    ke rozī ḳhush haiñ ġhorabā ye nihāl-e-eid hai

    zeb detā hai libās-e-nau na.e andāz meñ

    tan badan bhī hai mo.attar ye jamāl-e-eid hai

    eid aa.ī aur kyā kyā yaad taaza kar ga.ī

    soñch bichhḌoñ hai dil meñ aur ḳhayāl-e-eid hai

    kyun ishaara hai ufuq par aaj kis ki did hai

    alwidaa mah-e-ramazan wo hilal-e-eid hai

    masjidon mein sab jama ho jaenge KHurd-o-kalan

    dur ho dil ki kudurat ye sawal-e-eid hai

    muslimon ke sar jhuken hain sajda-e-allah mein

    kya uKHuwwat ka sabaq hai kya kamal-e-eid hai

    aaj ghoraba bhi amiron ke gale mil jaenge

    kuchh nahin tafriq hogi ye visal-e-eid hai

    hai musalmanon par wajib sadqa-e-eid-ul-fitr

    pa ke rozi KHush hain ghoraba ye nihaal-e-eid hai

    zeb deta hai libas-e-nau nae andaz mein

    tan badan bhi hai moattar ye jamal-e-eid hai

    eid aai aur kya kya yaad taza kar gai

    sonch bichhDon ki hai dil mein aur KHayal-e-eid hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now