pompiye
Interesting Fact
Pompeii was a tourist destination in Italy. There was such a huge volcanic eruption that the whole city was destroyed overnight. No one who witnessed the catastrophe survived.
pompiye dafn thā sadiyoñ se jahāñ
ek tahzīb thī poshīda vahāñ
shahr khodā to tavārīḳh ke TukḌe nikle
Dheroñ pathrā.e hue vaqt ke safhoñ ko ulaT kar dekhā
ek bhūlī huī tahzīb ke purze se bichhe the har-sū
munjamid laave meñ akḌe hue insānoñ ke guchchhe the vahāñ
aag aur laave se ghabrā ke jo lipTe hoñ ge
vahī maTke, vahī hāñDī, vahī TuuTe piyāle
hoñT TuuTe hue, laTkī huī miTTī kī zabāneñ har-sū
bhuuk us vaqt bhī thii, pyaas bhī thii, peT bhī thā
hukmarānoñ ke mahal, un kī fasīleñ, sikke
rā.ij-ul-vaqt jo hathiyār the aur un ke daste
beḌiyāñ pattharoñ kii, āhanī, pairoñ ke kaḌe
aur ġhulāmoñ ko jahāñ bāñdh ke rakhte the
vo pinjre bhī bahut se nikle
ek tahzīb yahāñ dafn hai aur us ke qarīb
ek tahzīb ravāñ hai,
jo mire vaqt kī hai
hukmarāñ bhī haiñ, mahal bhī haiñ, fasleñ bhī haiñ
jel-ḳhāne bhī haiñ aur gas ke chamber bhī haiñ
hīroshīmā pe kitābeñ bhī sajā rakkhī haiñ
beḌiyāñ āhanī hathkaḌiyāñ bhī steel kī haiñ
aur ġhulāmoñ ko bhī āzādī hai, bāñdhā nahīñ jāatā
merī tahzīb ne ab kitnī taraqqī kī hai
pompiye dafn tha sadiyon se jahan
ek tahzib thi poshida wahan
shahr khoda to tawariKH ke TukDe nikle
Dheron pathrae hue waqt ke safhon ko ulaT kar dekha
ek bhuli hui tahzib ke purze se bichhe the har-su
munjamid lawe mein akDe hue insanon ke guchchhe the wahan
aag aur lawe se ghabra ke jo lipTe hon ge
wahi maTke, wahi hanDi, wahi TuTe piyale
honT TuTe hue, laTki hui miTTi ki zabanen har-su
bhuk us waqt bhi thi, pyas bhi thi, peT bhi tha
hukmaranon ke mahal, un ki fasilen, sikke
raij-ul-waqt jo hathiyar the aur un ke daste
beDiyan pattharon ki, aahani, pairon ke kaDe
aur ghulamon ko jahan bandh ke rakhte the
wo pinjre bhi bahut se nikle
ek tahzib yahan dafn hai aur us ke qarib
ek tahzib rawan hai,
jo mere waqt ki hai
hukmaran bhi hain, mahal bhi hain, faslen bhi hain
jel-KHane bhi hain aur gas ke chamber bhi hain
hiroshima pe kitaben bhi saja rakkhi hain
beDiyan aahani hathkaDiyan bhi steel ki hain
aur ghulamon ko bhi aazadi hai, bandha nahin jaata
meri tahzib ne ab kitni taraqqi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.