heart-attack
dard itnā thā ki us raat dil-e-vahshī ne
har rag-e-jāñ se ulajhnā chāhā
har bun-e-mū se Tapaknā chāhā
aur kahīñ duur tire sahn meñ goyā
pattā pattā mire afsurda lahū meñ dhul kar
husn-e-mahtāb se āzurda nazar aane lagā
mere vīrāna-e-tan meñ goyā
saare dukhte hue reshoñ kī tanābeñ khul kar
silsila-vār patā dene lagīñ
ruḳhsat-e-qāfila-e-shauq kī tayyārī kā
aur jab yaad kī bujhtī huī sham.oñ meñ nazar aayā kahīñ
ek pal āḳhirī lamha tirī dildārī kā
dard itnā thā ki us se bhī guzarnā chāhā
ham ne chāhā bhī magar dil na Thaharnā chāhā
dard itna tha ki us raat dil-e-wahshi ne
har rag-e-jaan se ulajhna chaha
har bun-e-mu se Tapakna chaha
aur kahin dur tere sahn mein goya
patta patta mere afsurda lahu mein dhul kar
husn-e-mahtab se aazurda nazar aane laga
mere virana-e-tan mein goya
sare dukhte hue reshon ki tanaben khul kar
silsila-war pata dene lagin
ruKHsat-e-qafila-e-shauq ki tayyari ka
aur jab yaad ki bujhti hui shamon mein nazar aaya kahin
ek pal aaKHiri lamha teri dildari ka
dard itna tha ki us se bhi guzarna chaha
hum ne chaha bhi magar dil na Thaharna chaha
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 433)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.