Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

watan

ai vatan paak vatan rūh-e-ravān-e-ahrār

ai ki zarroñ meñ tire bu-e-chaman rañg-e-bahār

ai ki ḳhvābīda tirī ḳhaak meñ shāhāna vaqār

ai ki har ḳhaar tirā rū-kash-e-sad-rū-e-nigār

reze almās ke tere ḳhas-o-ḳhāshāk meñ haiñ

haDDiyāñ apne buzurgoñ tirī ḳhaak meñ haiñ

paa.ī ġhunchoñ meñ tire rañg duniyā ham ne

tere kāñToñ se liyā daras-e-tamannā ham ne

tere qatroñ se sunī qir.at-e-dariyā ham ne

tere zarroñ meñ paḌhī āyat-e-sahrā ham ne

kyā batā.eñ ki tirī bazm meñ kyā kyā dekhā

ek ā.īñe meñ duniyā tamāsha dekhā

terī gardan-e-rañgīñ meñ haiñ bāñheñ apnī

tere ishq meñ haiñ sub.h aa.heñ apnī

tere husn se raushan haiñ nigāheñ apnī

kaj huiiñ terī mahfil meñ kulāheñ apnī

bāñkpan siikh liyā ishq uftādoñ se

dil lagāyā bhī to tere parī-zādoñ se

pahle jis chiiz ko dekhā vo fazā terī thī

pahle jo kaan meñ aa.ī vo sadā terī thī

pālnā jis ne hilāyā vo havā terī thī

jis ne gahvāre meñ chūmā vo sabā terī thī

avvalīñ raqs havā mast ghaTā.eñ terī

bhīgī haiñ apnī maseñ āb-o-havā meñ terī

ai vatan aaj se kyā ham tire shaidā.ī haiñ

aañkh jis din se khulī tere tamannā.ī haiñ

muddatoñ se tire jalvoñ ke tamāshā.ī haiñ

ham to bachpan se tire āshiq-o-saudā.ī haiñ

bhaa.ī tiflī se har ik aan jahāñ meñ terī

baat tutlā ke jo bhī to zabāñ meñ terī

husn tere manāzir ne dikhāyā ham ko

terī sub.h ke naġhmoñ ne jagāyā ham ko

tere abr ne jhūloñ meñ jhulāyā ham ko

tere phūloñ ne nau-shāh banāyā ham ko

ḳhanda-e-gul ḳhabar terī zabānī aa.ī

tere bāġhoñ meñ havā khā ke javānī aa.ī

tujh se muñh moḌ ke muñh apnā dikhā.eñge kahāñ

ghar jo chhoḌeñge to phir chhāvnī chhā.eñge kahāñ

bazm-e-aġhyār meñ ārām ye pā.eñge kahāñ

tujh se ham ruuTh ke jaa.eñ bhī to jā.eñge kahāñ

tere hāthoñ meñ hai qismat navishta apnā

kis qadar tujh se bhī mazbūt hai rishta apnā

ai vatan josh hai phir quvvat-e-īmānī meñ

ḳhauf kyā dil ko safīna hai jo tuġhyānī meñ

dil se masrūf haiñ har tarah qurbānī meñ

mahv haiñ jo tirī kashtī nigahbānī meñ

ġharq karne ko jo kahte haiñ zamāne vaale

muskurāte haiñ tirī naav chalāne vaale

ham zamīñ ko tirī nāpāk na hone deñge

tere dāman ko kabhī chaak na hone deñge

tujh ko jiite haiñ to ġhamnāk na hone deñge

aisī iksīr ko yuuñ ḳhaak na hone deñge

meñ Thānī hai yahī se guzar jā.eñge

kam se kam va.ada ye karte haiñ ki mar jā.eñge

ai watan pak watan ruh-e-rawan-e-ahrar

ai ki zarron mein tere bu-e-chaman rang-e-bahaar

ai ki KHwabida teri KHak mein shahana waqar

ai ki har KHar tera ru-kash-e-sad-ru-e-nigar

reze almas ke tere KHas-o-KHashak mein hain

haDDiyan apne buzurgon ki teri KHak mein hain

pai ghunchon mein tere rang ki duniya hum ne

tere kanTon se liya daras-e-tamanna hum ne

tere qatron se suni qirat-e-dariya hum ne

tere zarron mein paDhi aayat-e-sahra hum ne

kya bataen ki teri bazm mein kya kya dekha

ek aaine mein duniya ka tamasha dekha

teri hi gardan-e-rangin mein hain banhen apni

tere hi ishq mein hain subh ki aahen apni

tere hi husn se raushan hain nigahen apni

kaj huin teri hi mahfil mein kulahen apni

bankpan sikh liya ishq ki uftadon se

dil lagaya bhi to tere hi pari-zadon se

pahle jis chiz ko dekha wo faza teri thi

pahle jo kan mein aai wo sada teri thi

palna jis ne hilaya wo hawa teri thi

jis ne gahware mein chuma wo saba teri thi

awwalin raqs hawa mast ghaTaen teri

bhigi hain apni masen aab-o-hawa mein teri

ai watan aaj se kya hum tere shaidai hain

aankh jis din se khuli tere tamannai hain

muddaton se tere jalwon ke tamashai hain

hum to bachpan se tere aashiq-o-saudai hain

bhai tifli se har ek aan jahan mein teri

baat tutla ke jo ki bhi to zaban mein teri

husn tere hi manazir ne dikhaya hum ko

teri hi subh ke naghmon ne jagaya hum ko

tere hi abr ne jhulon mein jhulaya hum ko

tere hi phulon ne nau-shah banaya hum ko

KHanda-e-gul ki KHabar teri zabani aai

tere baghon mein hawa kha ke jawani aai

tujh se munh moD ke munh apna dikhaenge kahan

ghar jo chhoDenge to phir chhawni chhaenge kahan

bazm-e-aghyar mein aaram ye paenge kahan

tujh se hum ruTh ke jaen bhi to jaenge kahan

tere hathon mein hai qismat ka nawishta apna

kis qadar tujh se bhi mazbut hai rishta apna

ai watan josh hai phir quwwat-e-imani mein

KHauf kya dil ko safina hai jo tughyani mein

dil se masruf hain har tarah ki qurbani mein

mahw hain jo teri kashti ki nigahbani mein

gharq karne ko jo kahte hain zamane wale

muskuraate hain teri naw chalane wale

hum zamin ko teri napak na hone denge

tere daman ko kabhi chaak na hone denge

tujh ko jite hain to ghamnak na hone denge

aisi iksir ko yun KHak na hone denge

ji mein Thani hai yahi ji se guzar jaenge

kam se kam wada ye karte hain ki mar jaenge

Source :
  • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 558)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
  • Edition : 1998

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now