Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muhibban-e-watan ka nara

Anand Narayan Mulla

muhibban-e-watan ka nara

Anand Narayan Mulla

shahīd-e-jaur-e-gulchīñ haiñ asīr-e-ḳhasta-tan ham haiñ

hamārā jurm itnā hai havā-ḳhvāh-e-chaman ham haiñ

satāne ko satā le aaj zālim jitnā chāhe

magar itnā kahe dete haiñ fardā-e-vatan ham haiñ

hamāre lahū sabā le jā.egī kan.āñ

milegā jis se yūsuf pata vo pairahan ham haiñ

hameñ ye faḳhr hāsil hai payām-e-nūr laa.e haiñ

zamīñ pahle-pahal chūmī hai jis ne vo kiran ham haiñ

sulā legī hameñ ḳhāk-e-vatan āġhosh meñ apnī

na fikr-e-gor hai ham ko na muhtāj-e-kafan ham haiñ

banā leñge tire zindāñ ko bhī ham ġhairat-e-mahfil

liye apnī nigāhoñ meñ jamāl-e-anjuman ham haiñ

nahīñ tesha to sar Takrā ke jū-e-shīr lā.eñge

bayābān-e-junūñ meñ jānashīn-e-kohkan ham haiñ

zamāna kar rahā hai koshisheñ ham ko miTāne

hilā paatā nahīñ jis ko vo buniyād-e-kuhan ham haiñ

na daulat hai na sarvat hai na ohda hai na tāqat hai

magar kuchh baat hai ham meñ ki jān-e-anjuman ham haiñ

tire ḳhanjar se apne dil tāqat āzmānā hai

mohabbat ek apnī hai tirā saarā zamāna hai

fidā-e-mulk honā hāsil-e-qismat samajhte haiñ

vatan par jaan dene ko ham jannat samajhte haiñ

kuchh aise aa ga.e haiñ tañg ham kunj-e-asīrī se

ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte haiñ

hamāre shauq vāraftagī hai diid ke qābil

pahuñchtī hai agar iizā use rāhat samajhte haiñ

nigāh-e-qahr mushtāq haiñ dil tamannā.eñ

ḳhat-e-chīn-e-jabīñ ko ḳhat-e-qismat samajhte haiñ

vatan zarra zarra ham ko apnī jaañ se pyārā hai

na ham maz.hab samajhte haiñ na ham millat samajhte haiñ

hayāt-e-ārzī sadqe hayāt-e-jāvedānī par

fanā honā ab ik ziist sūrat samajhte haiñ

hameñ ma.alūm hai achchhī tarah tāb-e-jafā terī

magar is se sivā apnī had-e-ulfat samajhte haiñ

ġham-o-ġhussa dikhānā ik dalīl-e-nā-tavānī hai

jo hañs kar choT khātī hai use tāqat samajhte haiñ

ġhulāmī aur āzādī bas itnā jānte haiñ ham

na ham dozaḳh samajhte haiñ na ham jannat samajhte haiñ

dikhānā hai ki laḌte haiñ jahāñ meñ bā-vafā kyūñkar

nikaltī hai zabāñ se zaḳhm khā kar marhabā kyūñkar

shahid-e-jaur-e-gulchin hain asir-e-KHasta-tan hum hain

hamara jurm itna hai hawa-KHwah-e-chaman hum hain

satane ko sata le aaj zalim jitna ji chahe

magar itna kahe dete hain farda-e-watan hum hain

hamare hi lahu ki bu saba le jaegi kanan

milega jis se yusuf ka pata wo pairahan hum hain

hamein ye faKHr hasil hai payam-e-nur lae hain

zamin pahle-pahal chumi hai jis ne wo kiran hum hain

sula legi hamein KHak-e-watan aaghosh mein apni

na fikr-e-gor hai hum ko na muhtaj-e-kafan hum hain

bana lenge tere zindan ko bhi hum ghairat-e-mahfil

liye apni nigahon mein jamal-e-anjuman hum hain

nahin tesha to sar Takra ke ju-e-shir laenge

bayaban-e-junun mein jaanashin-e-kohkan hum hain

zamana kar raha hai koshishen hum ko miTane ki

hila pata nahin jis ko wo buniyaad-e-kuhan hum hain

na daulat hai na sarwat hai na ohda hai na taqat hai

magar kuchh baat hai hum mein ki jaan-e-anjuman hum hain

tere KHanjar se apne dil ki taqat aazmana hai

mohabbat ek apni hai tera sara zamana hai

fida-e-mulk hona hasil-e-qismat samajhte hain

watan par jaan dene hi ko hum jannat samajhte hain

kuchh aise aa gae hain tang hum kunj-e-asiri se

ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte hain

hamare shauq ki waraftagi hai did ke qabil

pahunchti hai agar iza use rahat samajhte hain

nigah-e-qahr ki mushtaq hain dil ki tamannaen

KHat-e-chin-e-jabin hi ko KHat-e-qismat samajhte hain

watan ka zarra zarra hum ko apni jaan se pyara hai

na hum mazhab samajhte hain na hum millat samajhte hain

hayat-e-arzi sadqe hayat-e-jawedani par

fana hona hi ab ek zist ki surat samajhte hain

hamein malum hai achchhi tarah tab-e-jafa teri

magar is se siwa apni had-e-ulfat samajhte hain

gham-o-ghussa dikhana ek dalil-e-na-tawani hai

jo hans kar choT khati hai use taqat samajhte hain

ghulami aur aazadi bas itna jaante hain hum

na hum dozaKH samajhte hain na hum jannat samajhte hain

dikhana hai ki laDte hain jahan mein ba-wafa kyunkar

nikalti hai zaban se zaKHm kha kar marhaba kyunkar

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 76)
  • Author : Anand Narayan Mull
  • Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
  • Edition : 2010

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now