Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hubb-e-watan

Altaf Hussain Hali

hubb-e-watan

Altaf Hussain Hali

ai sip.har-e-barīñ ke sayyāro

ai fazā-e-zamīñ ke gul-zāro

ai pahāḌoñ dil-fareb fazā

ai lab-e-jū ThanDī ThanDī havā

ai anādil ke naġhma-e-saharī

ai shab-e-māhtāb tāroñ bharī

ai nasīm-e-bahār ke jhoñko

dahr-e-nā-pā.edār ke dhoko

tum har ik haal meñ ho yuuñ to aziiz

the vatan meñ magar kuchh aur chiiz

jab vatan meñ hamārā thā ramnā

tum se dil baaġh baaġh thā apnā

tum mirī dil-lagī ke sāmāñ the

tum mire dard-e-dil ke darmāñ the

tum se kaTtā thā rañj-e-tanhā.ī

tum se paatā thā dil shakebā.ī

aan ik ik tumhārī bhātī thī

jo adā thī vo lubhātī thī

karte the jab tum apnī ġham-ḳhvārī

dhoī jaatī thiiñ kulfateñ saarī

jab havā khāne baaġh jaate the

ho ke ḳhush-hāl ghar meñ aate the

baiTh jaate the jab kabhī lab-e-āb

dho ke uThte the dil ke daaġh shitāb

koh o sahrā o āsmān o zamīñ

sab mirī dil-lagī shakleñ thiiñ

par chhuTā jis se apnā mulk o dayār

huā tum se ḳhud-ba-ḳhud bezār

na guloñ adā ḳhush aatī hai

na sadā bulbuloñ bhātī hai

sair-e-gulshan hai ik janjāl

shab-e-mahtāb jaan ko hai vabāl

koh o sahrā se lab-e-dariyā

jis taraf jaa.eñ nahīñ lagtā

kyā hue vo din aur vo rāteñ

tum meñ aglī ab nahīñ bāteñ

ham ġhurbat meñ ho ga.e kuchh aur

tumhāre badal ga.e kuchh taur

go vahī ham haiñ aur vahī duniyā

par nahīñ ham ko lutf duniyā

ai vatan ai mire bahisht-e-barīñ

kyā hue tere āsmān o zamīñ

raat aur din vo samāñ na rahā

vo zamīñ aur vo āsmāñ na rahā

terī duurī hai morid-e-ālām

tere chhuTne se chhuT gayā ārām

kaaTe khātā hai baaġh bin tere

gul haiñ nazroñ meñ daaġh bin tere

miT gayā naqsh kāmrānī

tujh se thā lutf zindagānī

jo ki rahte haiñ tujh se duur sadā

in ko kyā hogā zindagī mazā

ho gayā yaañ to do din meñ ye haal

tujh bin ek ek pal hai ik ik saal

sach batā to sabhī ko bhātā hai

ki mujh se terā naatā hai

maiñ kartā huuñ tujh pe jaan nisār

ki duniyā hai terī āshiq-e-zār

kyā zamāne ko aziiz nahīñ

ai vatan to aisī chiiz nahīñ

jin o insān hayāt hai

murġh o maahī kā.enāt hai

hai nabātāt numū tujh se

ruukh tujh bin hare nahīñ hote

sab ko hotā hai tujh se nashv-o-numā

sab ko bhātī hai terī āb-o-havā

terī ik musht-e-ḳhāk ke badle

luuñ na hargiz agar bahisht mile

jaan jab tak na ho badan se judā

koī dushman na ho vatan se havā

hamla jab qaum-e-āryā ne kiyā

aur bajā un hind meñ Dañkā

mulk vaale bahut se kaam aa.e

jo bache vo ġhulām kahlā.e

shudr kahlā.e rākshas kahlā.e

rañj pardes ke magar na uThā.e

go ġhulāmī lag gayā dhabba

na chhuTā un se des par na chhuTā

qadr ai dil vatan meñ rahne

pūchhe pardesiyoñ ke se koī

jab milā rām-chandr ko ban-bās

aur niklā vatan se ho ke udaas

baap hukm rakh liyā sar par

par chalā saath le ke dāġh-e-jigar

paañv uThtā thā us ban taraf

aur khiñchtā thā dil vatan taraf

guzre ġhurbat meñ is qadar mah-o-sāl

par na bholā ayodhya ḳhayāl

des ko ban meñ bhaTaktā rahā

dil meñ kāñTā ik khaTaktā rahā

tiir ik dil meñ aa ke lagtā thā

aatī thī jab ayodhya havā

kaTne chaudah baras hue the muhāl

goyā ek ek jug thā ek ik saal

hue yasrib samt jab raahī

sayyed-e-abtahī ke hamrāhī

rishte ulfat ke saare toḌ chale

aur bilkul vatan ko chhoḌ chale

go vatan se chale the ho ke ḳhafā

par vatan meñ thā sab aTkā

dil-lagī ke bahut mile sāmān

par na bhūle vatan ke registān

dil meñ āThoñ pahar khaTakte the

sañg-reze zamīn-e-bat.hā ke

ghar jafāoñ se jin chhūTā thā

dil se rishta na un TuuTā thā

huiiñ yūsuf saḳhtiyāñ jab duur

aur huā mulk-e-misr par māmūr

misr meñ chaar thā hukm ravāñ

aañkh thī jānib-e-vatan nigarāñ

yād-e-kan.āñ jab us ko aatī thī

saltanat saarī bhuul jaatī thī

dukh uThā.e the jis vatan meñ saḳht

taaj bhātā na us baġhair na taḳht

jin se dekhī thī saḳht be-mehrī

lau thī un bhā.iyoñ dil ko lagī

ham bhī hubb-e-vatan meñ haiñ go ġharq

ham meñ aur un meñ hai magar ye farq

ham haiñ nām-e-vatan ke dīvāne

vo the ahl-e-vatan ke parvāne

jis ne yūsuf dāstāñ hai sunī

jāntā hogā rūedād us

misr meñ qaht jab paḌā aa kar

aur huī qaum bhuuk se muztar

kar diyā vaqf un pe baitulmāl

lab tak aane diyā na harf-e-savāl

khatiyāñ aur koThe khol diye

muft saare zaḳhīre tol diye

qāfile ḳhālī haath aate the

aur bharpūr yaañ se jaate the

yuuñ ga.e qaht ke vo saal guzar

jaise bachchoñ bhuuk vaqt-e-sahar

ai dil ai banda-e-vatan hoshiyār

ḳhvāb-e-ġhaflat se ho zarā bedār

o sharāb-e-ḳhudī ke matvāle

ghar chaukhaT ke chūmne vaale

naam hai kyā isī hubb-e-vatan

jis tujh ko lagī huī hai lagan

kabhī bachchoñ dhyān aatā hai

kabhī yāroñ ġham satātā hai

yaad aatā hai apnā shahr kabhī

lau kabhī ahl-e-shahr hai lagī

naqsh haiñ dil pe kūcha-o-bāzār

phirte āñkhoñ meñ haiñ dar-o-dīvār

kyā vatan kyā yahī mohabbat hai

ye bhī ulfat meñ koī ulfat hai

is meñ insāñ se kam nahīñ haiñ darind

is se ḳhālī nahīñ chairnd o parind

TukḌe hote haiñ sañg ġhurbat meñ

suukh jaate haiñ ruukh furqat meñ

ke kābul meñ aam paudā

kabhī parvān chaḌh nahīñ saktā

aa ke kābul se yaañ bihī-o-anār

ho nahīñ sakte bārvar zinhār

machhlī jab chhūTtī hai paanī se

haath dhotī hai zindagānī se

aag se jab huā samundar duur

us ko jiine phir nahīñ maqdūr

ghoḌe jab khet se bichhaḌte haiñ

jaan ke laale un ke paḌte haiñ

gaa.e, bhaiñs uuñT ho bakrī

apne apne Thikāne ḳhush haiñ sabhī

kahiye hubb-e-vatan isī ko agar

ham se haivāñ nahīñ haiñ kuchh kam-tar

hai koī apnī qaum hamdard

nau-e-insāñ samjheñ jis ko fard

jis pe itlāq-e-ādmī ho sahīh

jis ko haivāñ pe de sakeñ tarjīh

qaum par koī zad na dekh sake

qaum hāl-e-bad na dekh sake

qaum se jaan tak aziiz na ho

qaum se baḌh ke koī chiiz na ho

samjhe un ḳhushī ko rāhat-e-jāñ

vaañ jo nau-roz ho to iid ho yaañ

rañj ko un ke samjhe māya-e-ġham

vaañ agar sog ho to yaañ mātam

bhuul jaa.e sab apnī qadr-e-jalīl

dekh kar bhā.iyoñ ko ḳhvār-o-zalīl

jab paḌe un pe gardish-e-aflāk

apnī āsā.ishoñ pe Daal de ḳhaak

baiThe be-fikr kyā ho ham-vatano

uTho ahl-e-vatan ke dost bano

mard ho tum kisī ke kaam aao

varna khaao piyo chale jaao

jab koī zindagī lutf uThāo

dil ko dukh bhā.iyoñ ke yaad dilāo

pahno jab koī umda tum poshāk

karo dāman se garebāñ chaak

khānā khaao to meñ tum sharmāo

ThanDā paanī piyo to ashk bahāo

kitne bhaa.ī tumhāre haiñ nādār

zindagī se hai jin dil bezār

naukaroñ tumhāre jo hai ġhizā

un ko vo ḳhvāb meñ nahīñ miltā

jis pe tum jūtiyoñ se phirte ho

vaañ mayassar nahīñ vo oḌhne ko

khaao to pahle lo ḳhabar un

jin pe biptā hai nīstī paḌī

pahno to pahle bhā.iyoñ ko pahnāo

ki hai utran tumhārī jin banāv

ek Daalī ke sab haiñ barg-o-samar

hai koī un meñ ḳhushk aur koī tar

sab ko hai ek asl se paivand

koī āzurda hai koī ḳhursand

muqbilo mudabbiroñ ko yaad karo

ḳhush-dilo ġham-zadoñ ko shaad karo

jāgne vaale ġhāfiloñ ko jagāo

tairne vaalo Dūbtoñ ko tirāo

haiñ mile tum ko chashm o gosh agar

lo jo jaa.e kor-o-kar ḳhabar

tum agar haath paañv rakhte ho

lañgḌe lūloñ ko kuchh sahārā do

tandurustī shukr kiyā hai batāo

rañj bīmār bhā.iyoñ haTāo

tum agar chāhte ho mulk ḳhair

na kisī ham-vatan ko samjho ġhair

ho musalmān us meñ hindū

bodh maz.hab ho ki ho brahamū

ja.afrī hove ki ho hanafī

jīn-mat hove ho vaishnavī

sab ko mīThī nigāh se dekho

samjho āñkhoñ putliyāñ sab ko

mulk haiñ ittifāq se āzād

shahr haiñ ittifāq se ābād

hind meñ ittifāq hotā agar

khāte ġhairoñ Thokareñ kyūñkar

qaum jab ittifāq kho baiThī

apnī pūñjī se haat dho baiThī

ek ek ho gayā bad-ḳhvāh

lagī ġhairoñ paḌne tum pe nigāh

phir ga.e bhā.iyoñ se jab bhaa.ī

jo na aanī thī vo balā aa.ī

paañv iqbāl ke ukhaḌne lage

mulk par sab ke haath paḌne lage

kabhī tūrāniyoñ ne ghar luuTā

kabhī durrāniyoñ ne zar luuTā

kabhī nādir ne qatl-e-ām kiyā

kabhī mahmūd ne ġhulām kiyā

sab se āḳhir ko le ga.ī baazī

ek shā.ista qaum maġhrib

ye bhī tum par ḳhudā thā in.aam

ki paḌā tum ko aisī qaum se kaam

varna dum mārne na paate tum

paḌtī jo sar pe vo uThāte tum

mulk rauñde ga.e haiñ pairoñ se

chain kis ko milā hai ġhairoñ se

qaum se jo tumhāre bartāv

socho ai mere pyāro aur sharmāo

ahl-e-daulat ko hai ye istiġhnā

ki nahīñ bhā.iyoñ kuchh parvā

shahr meñ qaht duhā.ī hai

jān-e-ālam laboñ pe aa.ī hai

bachche ik ghar meñ bilbilāte haiñ

ro ke maañ baap ko rulāte haiñ

koī phirtā hai māñgtā dar dar

hai kahīñ peT se bañdhā patthar

par jo haiñ un meñ sāhib-e-maqdūr

un meñ gintī ke hoñge aise ġhayūr

ki jinheñ bhā.iyoñ ġham hogā

apnī rāhat dhyān kam hogā

jitne dekhoge pāoge be-dard

dil ke nāmard aur naam ke mard

aish meñ jin ke kaTte haiñ auqāt

iid hai din to shabbarāt hai raat

qaum martī hai bhuuk se to mare

kaam unheñ apne halve-māñDe se

in ko ab tak ḳhabar nahīñ aslan

shahr meñ bhaav kyā hai ġhalle

ġhalla arzāñ hai in dinoñ ki girāñ

kaal hai shahr meñ paḌā ki samāñ

kaal kyā shai hai kis ko kahte haiñ bhuuk

bhuuk meñ kyūñki marte haiñ maflūk

ser bhūke qadr kyā samjhe

us ke nazdīk sab haiñ peT bhare

ahl-e-daulat sun chuke tum haal

ab suno rūedād-e-ahl-e-kamāl

fāziloñ ko hai fāziloñ se inaad

panditoñ meñ paḌe hue haiñ fasād

hai tabīboñ meñ nok-jhok sadā

ek se ek hai thuuk judā

rahne do ahl-e-ilm haiñ is tarah

pahalvānoñ meñ laag ho jis tarah

iidū vāloñ hai agar paTThā

sheḳhū vāloñ meñ nahīñ saktā

shā.iroñ meñ bhī hai yahī takrār

ḳhushnavesoñ ko hai yahī āzār

laakh nekoñ kyuuñ na ho ik nek

dekh saktā nahīñ hai ek ko ek

is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar

duur samjhe hue haiñ apnā ghar

milī ik gāñTh jis ko haldī

us ne samjhā ki maiñ huuñ pansārī

nusḳha ik tib jis ko aatā hai

sage-bhā.ī se vo chhupātā hai

jis ko aatā hai phūñknā kushta

hai hamārī taraf se vo gūñgā

jis ko hai kuchh ramal meñ mālūmāt

vo nahīñ kartā sīdhe muñh se baat

baap bhaa.ī ho ki ho beTā

bhed paatā nahīñ munajjam

kaam kañdle jis ko hai ma.alūm

hai zamāne meñ us buḳhl dhuum

al-ġharaz jis ke paas hai kuchh chiiz

jaan se bhī sivā hai us ko aziiz

qaum par un kuchh nahīñ ehsāñ

un honā na honā hai yaksāñ

sab kamālāt aur hunar un ke

qabr meñ un ke saath jā.eñge

qaum kyā kah ke un ko ro.egī

naam par kyuuñ ki jaan kho.egī

tarbiyat-yāfta haiñ jo yaañ ke

ḳhvāh b-a hoñ is meñ m.a

bharte hubb-e-vatan go dam haiñ

par muhibb-e-vatan bahut kam haiñ

qaum ko un se jo umīdeñ thiiñ

ab jo dekhā to sab ġhalat niklīñ

history un aur geography

saat parde meñ muñh diye hai paḌī

band us qufl meñ hai ilm un

jis kunjī kuchh nahīñ hai patā

lete haiñ apne dil dil meñ maze

goyā gūñge guḌ haiñ khaa.e hue

karte phirte haiñ sair-e-gul tanhā

koī paas un ke nahīñ saktā

ahl-e-insāf sharm hai

gar nahīñ buḳhl ye to phir kyā hai

tum ne dekhā hai jo vo sab ko dikhāo

tum ne chakhā hai jo vo sab ko chakhāo

ye jo daulat tumhāre paas hai aaj

ham-vatan is ke haiñ bahut mohtāj

muñh ko ek ik tumhāre hai taktā

ki nikaltā hai muñh se aap ke kyā

aap shā.ista haiñ to apne liye

kuchh sulūk apnī qaum se bhī kiye

mez kursī agar lagāte haiñ aap

qaum se pūchhiye to pun hai na paap

muñDā juutā gar aap ko hai pasand

qaum ko is se fā.eda na gazand

qaum par karte ho agar ehsāñ

to dikhāo kuchh apnā josh-e-nihāñ

kuchh dinoñ aish meñ ḳhalal Daalo

peT meñ jo hai sab ugal Daalo

ilm ko kar do kū-ba-kū arzāñ

hind ko kar dikhāo englistāñ

sunte ho sāma.īn-e-bā-tamkīñ

sunte ho hāzrīn-e-sadr-nashīñ

jo haiñ duniyā meñ qaum ke hamdard

banda-e-qaum un ke haiñ zan o mard

baap hai duā ye bahr-e-pisar

qaum maiñ banā.ūñ us ko sipar

maañ ḳhudā se ye māñgtī hai murād

qaum par se nisār ho aulād

bhaa.ī aapas meñ karte haiñ paimāñ

agar maal de to maiñ duuñ jaañ

ahl-e-himmat kamā ke laate haiñ

ham-vatan fā.ede uThāte haiñ

kahīñ hote haiñ madrase jaarī

daḳhl aur ḳharj jin ke haiñ bhārī

aur kahīñ hote haiñ club qaa.em

mab.has-e-hikmat aur adab qaa.em

nit-na.e khulte haiñ davā-ḳhāne

bante haiñ saikḌoñ shifā-ḳhāne

mulk meñ jo maraz haiñ ālam-gīr

qaum par un farz hai tadbīr

haiñ sadā is udheḌ-bun meñ tabīb

ki koī nusḳha haath aa.e ajiib

qaum ko pahuñche manfa.at jis se

mulk meñ phaileñ fā.ede jis ke

khap ga.e kitne ban ke jhāḌoñ meñ

mar ga.e saikḌoñ pahāḌoñ meñ

likhe jab tak jiye safar-nāme

chal diye haath meñ qalam thāme

go safar meñ uThā.e rañj-e-kamāl

kar diyā par vatan ko apne nihāl

haiñ ab in ke gavāh hubb-e-vatan

dar-o-dīvār-e-paris o london

kaam haiñ sab bashar ke ham-vatanoñ

tum se bhī ho sake to mard bano

chhoḌo afsurdagī ko josh meñ aao

bas bahut so.e uTTho hosh meñ aao

qāfile tum se baḌh ga.e kosoñ

rahe jaate ho sab se pīchhe kyuuñ

qāfiloñ se agar milā chāho

mulk aur qaum bhalā chāho

gar rahā chāhte ho izzat se

bhā.iyoñ ko nikālo zillat se

un izzat tumhārī izzat hai

un zillat tumhārī zillat hai

qaum mubtadil hai jo insāñ

be-haqīqat hai garche hai sultāñ

qaum duniyā meñ jis hai mumtāz

hai faqīrī meñ bhī vo bā-e.azāz

izzat-e-qaum chāhte ho agar

ke phailāo un meñ ilm-o-hunar

zaat faḳhr aur nasab ġhurūr

uTh ga.e ab jahāñ se ye dastūr

ab na sayyad iftiḳhār sahīh

na barhaman ko shudr par tarjīh

huī turkī tamām ḳhānoñ meñ

kaT ga.ī jaḌ se ḳhāndānoñ meñ

qaum izzat ab hunar se hai

ilm se ki sīm-o-zar se hai

koī din meñ vo daur aa.egā

be-hunar bhiik tak na pā.egā

na raheñge sadā yahī din raat

yaad rakhnā hamārī aaj baat

gar nahīñ sunte qaul 'hālī'

phir na kahnā ki koī kahtā thā

ai siphar-e-barin ke sayyaro

ai faza-e-zamin ke gul-zaro

ai pahaDon ki dil-fareb faza

ai lab-e-ju ki ThanDi ThanDi hawa

ai anadil ke naghma-e-sahari

ai shab-e-mahtab taron bhari

ai nasim-e-bahaar ke jhonko

dahr-e-na-paedar ke dhoko

tum har ek haal mein ho yun to aziz

the watan mein magar kuchh aur hi chiz

jab watan mein hamara tha ramna

tum se dil bagh bagh tha apna

tum meri dil-lagi ke saman the

tum mere dard-e-dil ke darman the

tum se kaTta tha ranj-e-tanhai

tum se pata tha dil shakebai

aan ek ek tumhaari bhati thi

jo ada thi wo ji lubhati thi

karte the jab tum apni gham-KHwari

dhoi jati thin kulfaten sari

jab hawa khane bagh jate the

ho ke KHush-haal ghar mein aate the

baiTh jate the jab kabhi lab-e-ab

dho ke uThte the dil ke dagh shitab

koh o sahra o aasman o zamin

sab meri dil-lagi ki shaklen thin

par chhuTa jis se apna mulk o dayar

ji hua tum se KHud-ba-KHud bezar

na gulon ki ada KHush aati hai

na sada bulbulon ki bhati hai

sair-e-gulshan hai ji ka ek janjal

shab-e-mahtab jaan ko hai wabaal

koh o sahra se ta lab-e-dariya

jis taraf jaen ji nahin lagta

kya hue wo din aur wo raaten

tum mein agli si ab nahin baaten

hum hi ghurbat mein ho gae kuchh aur

ya tumhaare badal gae kuchh taur

go wahi hum hain aur wahi duniya

par nahin hum ko lutf duniya ka

ai watan ai mere bahisht-e-barin

kya hue tere aasman o zamin

raat aur din ka wo saman na raha

wo zamin aur wo aasman na raha

teri duri hai morid-e-alam

tere chhuTne se chhuT gaya aaram

kaTe khata hai bagh bin tere

gul hain nazron mein dagh bin tere

miT gaya naqsh kaamrani ka

tujh se tha lutf zindagani ka

jo ki rahte hain tujh se dur sada

in ko kya hoga zindagi ka maza

ho gaya yan to do hi din mein ye haal

tujh bin ek ek pal hai ek ek sal

sach bata to sabhi ko bhata hai

ya ki mujh se hi tera nata hai

main hi karta hun tujh pe jaan nisar

ya ki duniya hai teri aashiq-e-zar

kya zamane ko tu aziz nahin

ai watan tu to aisi chiz nahin

jin o insan ki hayat hai tu

murgh o mahi ki kaenat hai tu

hai nabaatat ka numu tujh se

rukh tujh bin hare nahin hote

sab ko hota hai tujh se nashw-o-numa

sab ko bhati hai teri aab-o-hawa

teri ek musht-e-KHak ke badle

lun na hargiz agar bahisht mile

jaan jab tak na ho badan se juda

koi dushman na ho watan se hawa

hamla jab qaum-e-arya ne kiya

aur baja un ka hind mein Danka

mulk wale bahut se kaam aae

jo bache wo ghulam kahlae

shudr kahlae rakshas kahlae

ranj pardes ke magar na uThae

go ghulami ka lag gaya dhabba

na chhuTa un se des par na chhuTa

qadr ai dil watan mein rahne ki

puchhe pardesiyon ke ji se koi

jab mila ram-chandr ko ban-bas

aur nikla watan se ho ke udas

bap ka hukm rakh liya sar par

par chala sath le ke dagh-e-jigar

panw uThta tha us ka ban ki taraf

aur khinchta tha dil watan ki taraf

guzre ghurbat mein is qadar mah-o-sal

par na bhola ayodhya ka KHayal

des ko ban mein ji bhaTakta raha

dil mein kanTa sa ek khaTakta raha

tir ek dil mein aa ke lagta tha

aati thi jab ayodhya ki hawa

kaTne chaudah baras hue the muhaal

goya ek ek jug tha ek ek sal

hue yasrib ki samt jab rahi

sayyed-e-abtahi ke hamrahi

rishte ulfat ke sare toD chale

aur bilkul watan ko chhoD chale

go watan se chale the ho ke KHafa

par watan mein tha sab ka ji aTka

dil-lagi ke bahut mile saman

par na bhule watan ke registan

dil mein aaThon pahar khaTakte the

sang-reze zamin-e-batha ke

ghar jafaon se jin ki chhuTa tha

dil se rishta na un ka TuTa tha

huin yusuf ki saKHtiyan jab dur

aur hua mulk-e-misr par mamur

misr mein chaar su tha hukm rawan

aankh thi jaanib-e-watan nigaran

yaad-e-kanan jab us ko aati thi

saltanat sari bhul jati thi

dukh uThae the jis watan mein saKHt

taj bhata na us baghair na taKHt

jin se dekhi thi saKHt be-mehri

lau thi un bhaiyon ki dil ko lagi

hum bhi hubb-e-watan mein hain go gharq

hum mein aur un mein hai magar ye farq

hum hain nam-e-watan ke diwane

wo the ahl-e-watan ke parwane

jis ne yusuf ki dastan hai suni

jaanta hoga ruedad us ki

misr mein qaht jab paDa aa kar

aur hui qaum bhuk se muztar

kar diya waqf un pe baitulmal

lab tak aane diya na harf-e-sawal

khatiyan aur koThe khol diye

muft sare zaKHire tol diye

qafile KHali hath aate the

aur bharpur yan se jate the

yun gae qaht ke wo sal guzar

jaise bachchon ki bhuk waqt-e-sahar

ai dil ai banda-e-watan hoshiyar

KHwab-e-ghaflat se ho zara bedar

o sharab-e-KHudi ke matwale

ghar ki chaukhaT ke chumne wale

nam hai kya isi ka hubb-e-watan

jis ki tujh ko lagi hui hai lagan

kabhi bachchon ka dhyan aata hai

kabhi yaron ka gham satata hai

yaad aata hai apna shahr kabhi

lau kabhi ahl-e-shahr ki hai lagi

naqsh hain dil pe kucha-o-bazar

phirte aankhon mein hain dar-o-diwar

kya watan kya yahi mohabbat hai

ye bhi ulfat mein koi ulfat hai

is mein insan se kam nahin hain darind

is se KHali nahin chairnd o parind

TukDe hote hain sang ghurbat mein

sukh jate hain rukh furqat mein

ja ke kabul mein aam ka pauda

kabhi parwan chaDh nahin sakta

aa ke kabul se yan bihi-o-anar

ho nahin sakte barwar zinhaar

machhli jab chhuTti hai pani se

hath dhoti hai zindagani se

aag se jab hua samundar dur

us ko jine ka phir nahin maqdur

ghoDe jab khet se bichhaDte hain

jaan ke lale un ke paDte hain

gae, bhains unT ho ya bakri

apne apne Thikane KHush hain sabhi

kahiye hubb-e-watan isi ko agar

hum se haiwan nahin hain kuchh kam-tar

hai koi apni qaum ka hamdard

nau-e-insan ka samjhen jis ko fard

jis pe itlaq-e-admi ho sahih

jis ko haiwan pe de saken tarjih

qaum par koi zad na dekh sake

qaum ka haal-e-bad na dekh sake

qaum se jaan tak aziz na ho

qaum se baDh ke koi chiz na ho

samjhe un ki KHushi ko rahat-e-jaan

wan jo nau-roz ho to id ho yan

ranj ko un ke samjhe maya-e-gham

wan agar sog ho to yan matam

bhul jae sab apni qadr-e-jalil

dekh kar bhaiyon ko KHwar-o-zalil

jab paDe un pe gardish-e-aflak

apni aasaishon pe Dal de KHak

baiThe be-fikr kya ho ham-watano

uTho ahl-e-watan ke dost bano

mard ho tum kisi ke kaam aao

warna khao piyo chale jao

jab koi zindagi ka lutf uThao

dil ko dukh bhaiyon ke yaad dilao

pahno jab koi umda tum poshak

karo daman se ta gareban chaak

khana khao to ji mein tum sharmao

ThanDa pani piyo to ashk bahao

kitne bhai tumhaare hain nadar

zindagi se hai jin ka dil bezar

naukaron ki tumhaare jo hai ghiza

un ko wo KHwab mein nahin milta

jis pe tum jutiyon se phirte ho

wan mayassar nahin wo oDhne ko

khao to pahle lo KHabar un ki

jin pe bipta hai nisti ki paDi

pahno to pahle bhaiyon ko pahnao

ki hai utran tumhaari jin ka banaw

ek Dali ke sab hain barg-o-samar

hai koi un mein KHushk aur koi tar

sab ko hai ek asl se paiwand

koi aazurda hai koi KHursand

muqbilo mudabbiron ko yaad karo

KHush-dilo gham-zadon ko shad karo

jagne wale ghafilon ko jagao

tairne walo Dubton ko tirao

hain mile tum ko chashm o gosh agar

lo jo li jae kor-o-kar ki KHabar

tum agar hath panw rakhte ho

langDe lulon ko kuchh sahaara do

tandurusti ka shukr kiya hai batao

ranj bimar bhaiyon ka haTao

tum agar chahte ho mulk ki KHair

na kisi ham-watan ko samjho ghair

ho musalman us mein ya hindu

bodh mazhab ho ya ki ho brahamu

jafri howe ya ki ho hanafi

jin-mat howe ya ho waishnawi

sab ko miThi nigah se dekho

samjho aankhon ki putliyan sab ko

mulk hain ittifaq se aazad

shahr hain ittifaq se aabaad

hind mein ittifaq hota agar

khate ghairon ki Thokaren kyunkar

qaum jab ittifaq kho baiThi

apni punji se hat dho baiThi

ek ka ek ho gaya bad-KHwah

lagi ghairon ki paDne tum pe nigah

phir gae bhaiyon se jab bhai

jo na aani thi wo bala aai

panw iqbaal ke ukhaDne lage

mulk par sab ke hath paDne lage

kabhi turaniyon ne ghar luTa

kabhi durraniyon ne zar luTa

kabhi nadir ne qatl-e-am kiya

kabhi mahmud ne ghulam kiya

sab se aaKHir ko le gai bazi

ek shaista qaum maghrib ki

ye bhi tum par KHuda ka tha inam

ki paDa tum ko aisi qaum se kaam

warna dum marne na pate tum

paDti jo sar pe wo uThate tum

mulk raunde gae hain pairon se

chain kis ko mila hai ghairon se

qaum se jo tumhaare bartaw

socho ai mere pyaro aur sharmao

ahl-e-daulat ko hai ye istighna

ki nahin bhaiyon ki kuchh parwa

shahr mein qaht ki duhai hai

jaan-e-alam labon pe aai hai

bachche ek ghar mein bilbilate hain

ro ke man bap ko rulate hain

koi phirta hai mangta dar dar

hai kahin peT se bandha patthar

par jo hain un mein sahib-e-maqdur

un mein ginti ke honge aise ghayur

ki jinhen bhaiyon ka gham hoga

apni rahat ka dhyan kam hoga

jitne dekhoge paoge be-dard

dil ke namard aur nam ke mard

aish mein jin ke kaTte hain auqat

id hai din to shabbaraat hai raat

qaum marti hai bhuk se to mare

kaam unhen apne halwe-manDe se

in ko ab tak KHabar nahin aslan

shahr mein bhaw kya hai ghalle ka

ghalla arzan hai in dinon ki giran

kal hai shahr mein paDa ki saman

kal kya shai hai kis ko kahte hain bhuk

bhuk mein kyunki marte hain mafluk

ser bhuke ki qadr kya samjhe

us ke nazdik sab hain peT bhare

ahl-e-daulat ka sun chuke tum haal

ab suno ruedad-e-ahl-e-kamal

fazilon ko hai fazilon se inad

panditon mein paDe hue hain fasad

hai tabibon mein nok-jhok sada

ek se ek ka hai thuk juda

rahne do ahl-e-ilm hain is tarah

pahalwanon mein lag ho jis tarah

idu walon ka hai agar paTTha

sheKHu walon mein ja nahin sakta

shairon mein bhi hai yahi takrar

KHushnaweson ko hai yahi aazar

lakh nekon ka kyun na ho ek nek

dekh sakta nahin hai ek ko ek

is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar

dur samjhe hue hain apna ghar

mili ek ganTh jis ko haldi ki

us ne samjha ki main hun pansari

nusKHa ek tib ka jis ko aata hai

sage-bhai se wo chhupata hai

jis ko aata hai phunkna kushta

hai hamari taraf se wo gunga

jis ko hai kuchh ramal mein malumat

wo nahin karta sidhe munh se baat

bap bhai ho ya ki ho beTa

bhed pata nahin munajjam ka

kaam kandle ka jis ko hai malum

hai zamane mein us ki buKHl ki dhum

al-gharaz jis ke pas hai kuchh chiz

jaan se bhi siwa hai us ko aziz

qaum par un ka kuchh nahin ehsan

un ka hona na hona hai yaksan

sab kamalat aur hunar un ke

qabr mein un ke sath jaenge

qaum kya kah ke un ko roegi

nam par kyun ki jaan khoegi

tarbiyat-yafta hain jo yan ke

KHwah b-a hon is mein ya ma

bharte hubb-e-watan ka go dam hain

par muhibb-e-watan bahut kam hain

qaum ko un se jo umiden thin

ab jo dekha to sab ghalat niklin

history un ki aur geography

sat parde mein munh diye hai paDi

band us qufl mein hai ilm un ka

jis ki kunji ka kuchh nahin hai pata

lete hain apne dil hi dil mein maze

goya gunge ka guD hain khae hue

karte phirte hain sair-e-gul tanha

koi pas un ke ja nahin sakta

ahl-e-insaf sharm ki ja hai

gar nahin buKHl ye to phir kya hai

tum ne dekha hai jo wo sab ko dikhao

tum ne chakha hai jo wo sab ko chakhao

ye jo daulat tumhaare pas hai aaj

ham-watan is ke hain bahut mohtaj

munh ko ek ek tumhaare hai takta

ki nikalta hai munh se aap ke kya

aap shaista hain to apne liye

kuchh suluk apni qaum se bhi kiye

mez kursi agar lagate hain aap

qaum se puchhiye to pun hai na pap

munDa juta gar aap ko hai pasand

qaum ko is se faeda na gazand

qaum par karte ho agar ehsan

to dikhao kuchh apna josh-e-nihan

kuchh dinon aish mein KHalal Dalo

peT mein jo hai sab ugal Dalo

ilm ko kar do ku-ba-ku arzan

hind ko kar dikhao englistan

sunte ho samain-e-ba-tamkin

sunte ho hazrin-e-sadr-nashin

jo hain duniya mein qaum ke hamdard

banda-e-qaum un ke hain zan o mard

bap ki hai dua ye bahr-e-pisar

qaum ki main banaun us ko sipar

man KHuda se ye mangti hai murad

qaum par se nisar ho aulad

bhai aapas mein karte hain paiman

tu agar mal de to main dun jaan

ahl-e-himmat kama ke late hain

ham-watan faede uThate hain

kahin hote hain madrase jari

daKHl aur KHarj jin ke hain bhaari

aur kahin hote hain club qaem

mabhas-e-hikmat aur adab qaem

nit-nae khulte hain dawa-KHane

bante hain saikDon shifa-KHane

mulk mein jo maraz hain aalam-gir

qaum par un ki farz hai tadbir

hain sada is udheD-bun mein tabib

ki koi nusKHa hath aae ajib

qaum ko pahunche manfat jis se

mulk mein phailen faede jis ke

khap gae kitne ban ke jhaDon mein

mar gae saikDon pahaDon mein

likhe jab tak jiye safar-name

chal diye hath mein qalam thame

go safar mein uThae ranj-e-kamal

kar diya par watan ko apne nihaal

hain ab in ke gawah hubb-e-watan

dar-o-diwar-e-paris o london

kaam hain sab bashar ke ham-watanon

tum se bhi ho sake to mard bano

chhoDo afsurdagi ko josh mein aao

bas bahut soe uTTho hosh mein aao

qafile tum se baDh gae koson

rahe jate ho sab se pichhe kyun

qafilon se agar mila chaho

mulk aur qaum ka bhala chaho

gar raha chahte ho izzat se

bhaiyon ko nikalo zillat se

un ki izzat tumhaari izzat hai

un ki zillat tumhaari zillat hai

qaum ka mubtadil hai jo insan

be-haqiqat hai garche hai sultan

qaum duniya mein jis ki hai mumtaz

hai faqiri mein bhi wo ba-eazaz

izzat-e-qaum chahte ho agar

ja ke phailao un mein ilm-o-hunar

zat ka faKHr aur nasab ka ghurur

uTh gae ab jahan se ye dastur

ab na sayyad ka iftiKHar sahih

na barhaman ko shudr par tarjih

hui turki tamam KHanon mein

kaT gai jaD se KHandanon mein

qaum ki izzat ab hunar se hai

ilm se ya ki sim-o-zar se hai

koi din mein wo daur aaega

be-hunar bhik tak na paega

na rahenge sada yahi din raat

yaad rakhna hamari aaj ki baat

gar nahin sunte qaul 'haali' ka

phir na kahna ki koi kahta tha

Source :
  • Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 32)
  • Author : Ibne Kanwal
  • Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
  • Edition : 2005-2008

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now