Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindustani bachchon ka qaumi git

Allama Iqbal

hindustani bachchon ka qaumi git

Allama Iqbal

Interesting Fact

From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

chishtī ne jis zamīñ meñ paiġhām-e-haq sunāyā

nānak ne jis chaman meñ vahdat giit gaayā

tātāriyoñ ne jis ko apnā vatan banāyā

jis ne hijāziyoñ se dasht-e-arab chhuḌāyā

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

yunāniyoñ ko jis ne hairān kar diyā thā

saare jahāñ ko jis ne ilm o hunar diyā thā

miTTī ko jis haq ne zar asar diyā thā

turkoñ jis ne dāman hīroñ se bhar diyā thā

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

TuuTe the jo sitāre fāras ke āsmāñ se

phir taab de ke jis ne chamkā.e kahkashāñ se

vahdat lai sunī thī duniyā ne jis makāñ se

mīr-e-arab ko aa.ī ThanDī havā jahāñ se

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

bande kalīm jis ke parbat jahāñ ke siinā

nūh-e-nabī aa kar Thahrā jahāñ safīnā

rif.at hai jis zamīñ bām-e-falak ziinā

jannat zindagī hai jis fazā meñ jiinā

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

chishti ne jis zamin mein paigham-e-haq sunaya

nanak ne jis chaman mein wahdat ka git gaya

tatariyon ne jis ko apna watan banaya

jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhuDaya

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha

sare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha

miTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha

turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

TuTe the jo sitare faras ke aasman se

phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se

wahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se

mir-e-arab ko aai ThanDi hawa jahan se

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

bande kalim jis ke parbat jahan ke sina

nuh-e-nabi ka aa kar Thahra jahan safina

rifat hai jis zamin ki baam-e-falak ka zina

jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

hindustani bachchon ka qaumi git Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now