Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulzar-e-watan

Suroor Jahanabadi

gulzar-e-watan

Suroor Jahanabadi

phūloñ kunj-e-dilkash bhārat meñ ik banā.eñ

hubb-e-vatan ke paude is meñ na.e lagā.eñ

phūloñ meñ jis chaman ke ho bū-e-jāñ-nisārī

hubb-e-vatan qalmeñ ham is chaman se laa.eñ

ḳhūn-e-jigar se sīñcheñ har naḳhl-e-ārzū ko

ashkoñ se bel-būToñ aabrū baḌhā.eñ

ek ek gul meñ phūñkeñ rūh-e-shamīm-e-vahdat

ik ik kalī ko dil ke dāman se deñ havā.eñ

firdaus namūna apnā ho kunj-e-dilkash

saare jahāñ jis meñ hoñ jalva-gar fazā.eñ

chhāyā ho abr-e-rahmat kāshana-e-chaman meñ

rim-jhim baras rahī hoñ chāroñ taraf ghaTā.eñ

murġhān-e-bāġh ban kar uḌte phireñ havā meñ

naġhme hoñ rūh-afzā aur dil-rubā sadā.eñ

hubb-e-vatan ke lab par hoñ jāñ-fazā tarāne

shāḳhoñ pe giit gaa.eñ phūloñ pe chahchahā.eñ

chhā.ī huī ghaTā ho mausam tarab-fazā ho

jhoñke chaleñ havā ke ashjār lahlahā.eñ

is kunj-e-dil-nashīñ meñ qabza na ho ḳhizāñ

jo ho guloñ taḳhta taḳhta ho ik jināñ

bulbul ko ho chaman meñ sayyād na khaTkā

ḳhush ḳhush ho shāḳh-e-gul par ġham ho na āshiyāñ

hubb-e-vatan mil kar sab ek raag gaa.eñ

lahja judā ho garche murġhān-e-naġhma-ḳhvāñ

ek ek lafz meñ ho tāsīr-e-bū-e-ulfat

andāz dil-nashīñ ho ek ek dāstāñ

murġhān-e-bāġh ho us shāḳh par nasheman

pahuñche na haath jis tak sayyād-e-āsmāñ

mausam ho josh-e-gul aur din bahār ke hoñ

aalam ajiib dilkash ho apne gulsitāñ

mil mil ke ham tarāne hubb-e-vatan ke gaa.eñ

bulbul haiñ jis chaman ke giit us chaman ke gaa.eñ

phulon ka kunj-e-dilkash bhaarat mein ek banaen

hubb-e-watan ke paude is mein nae lagaen

phulon mein jis chaman ke ho bu-e-jaan-nisari

hubb-e-watan ki qalmen hum is chaman se laen

KHun-e-jigar se sinchen har naKHl-e-arzu ko

ashkon se bel-buTon ki aabru baDhaen

ek ek gul mein phunken ruh-e-shamim-e-wahdat

ek ek kali ko dil ke daman se den hawaen

firdaus ka namuna apna ho kunj-e-dilkash

sare jahan ki jis mein hon jalwa-gar fazaen

chhaya ho abr-e-rahmat kashana-e-chaman mein

rim-jhim baras rahi hon chaaron taraf ghaTaen

murghan-e-bagh ban kar uDte phiren hawa mein

naghme hon ruh-afza aur dil-ruba sadaen

hubb-e-watan ke lab par hon jaan-faza tarane

shaKHon pe git gaen phulon pe chahchahaen

chhai hui ghaTa ho mausam tarab-faza ho

jhonke chalen hawa ke ashjar lahlahaen

is kunj-e-dil-nashin mein qabza na ho KHizan ka

jo ho gulon ka taKHta taKHta ho ek jinan ka

bulbul ko ho chaman mein sayyaad ka na khaTka

KHush KHush ho shaKH-e-gul par gham ho na aashiyan ka

hubb-e-watan ka mil kar sab ek rag gaen

lahja juda ho garche murghan-e-naghma-KHwan ka

ek ek lafz mein ho tasir-e-bu-e-ulfat

andaz dil-nashin ho ek ek dastan ka

murghan-e-bagh ka ho us shaKH par nasheman

pahunche na hath jis tak sayyaad-e-asman ka

mausam ho josh-e-gul ka aur din bahaar ke hon

aalam ajib dilkash ho apne gulsitan ka

mil mil ke hum tarane hubb-e-watan ke gaen

bulbul hain jis chaman ke git us chaman ke gaen

Source :
  • Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 28)
  • Author : Sibte Hasan
  • Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
  • Edition : 1985,2007

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now