Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj

sāthiyo! maiñ ne barsoñ tumhāre liye

chāñd tāroñ bahāroñ ke sapne bune

husn aur ishq ke giit gaatā rahā

ārzūoñ ke aivāñ sajātā rahā

maiñ tumhārā muġhannī tumhāre liye

jab bhī aayā na.e giit laatā rahā

aaj lekin mire dāman-e-chāk meñ

gard-e-rāh-e-safar ke sivā kuchh nahīñ

mere barbat ke siine meñ naġhmoñ dam ghuT gayā

tāneñ chīḳhoñ ke ambār meñ dab ga.ī haiñ

aur gītoñ ke sur hichkiyāñ ban ga.e haiñ

maiñ tumhārā muġhannī huuñ naġhma nahīñ huuñ

aur naġhme taḳhlīq sāz-o-sāmāñ

sāthiyo! aaj tum ne bhasm kar diyā hai

aur maiñ apnā TuuTā huā saaz thāme

sard lāshoñ ke ambār ko tak rahā huuñ

mere chāroñ taraf maut vahshateñ nāchtī haiñ

aur insāñ haivāniyat jaag uThī hai

barbariyat ke ḳhūñ-ḳhār ifrīt

apne nāpāk jabḌoñ ko khole

ḳhuun ke ġhurrā rahe haiñ

bachche maaoñ godoñ meñ sahme hue haiñ

ismateñ sar-barahana pareshān haiñ

har taraf shor-e-āh-o-bukā hai

aur maiñ is tabāhī ke tūfān meñ

aag aur ḳhuuñ ke haijān meñ

sar-nigūñ aur shikasta makānoñ ke malbe se pur rāstoñ par

apne naġhmoñ jholī pasāre

dar-ba-dar phir rahā huuñ

mujh ko amn aur tahzīb bhiik do

mere gītoñ lai merā sur merī nai

mere majrūh hoñToñ ko phir sauñp do

sāthiyo! maiñ ne barsoñ tumhāre liye

inqalāb aur baġhāvat ke naġhme alāpe

ajnabī raaj ke zulm chhāñv meñ

sarfaroshī ke ḳhvābīda jazbe ubhāre

aur us sub.h raah dekhī

jis meñ is mulk ruuh āzād ho

aaj zanjīr-e-mahkūmiyat kaT chukī hai

aur is mulk ke bahr-o-bar bām-o-dar

ajnabī qaum ke zulmat-afshāñ pharere manhūs chhāñv se āzād haiñ

khet sonā ugalne ko bechain haiñ

vādiyāñ lahlahāne ko betāb haiñ

kohsāroñ ke siine meñ haijān hai

sañg aur ḳhisht be-ḳhvāb va bedār haiñ

un ā.ankhoñ meñ ta.amīr ke ḳhvāb haiñ

un ke ḳhvāboñ ko takmīl ruup do

mulk vādiyāñ ghāTiyāñ khetiyāñ

aurteñ bachchiyāñ

haath phailā.e ḳhairāt muntazir haiñ

in ko amn aur tahzīb bhiik do

maaoñ ko un ke hoñToñ shādābiyāñ

nanhe bachchoñ ko un ḳhushī baḳhsh do

mulk ruuh ko zindagī baḳhsh do

mujh ko merā hunar merī lai baḳhsh do

aaj saarī fazā hai bhikārī

aur maiñ is bhikārī fazā meñ

apne naġhmoñ jholī pasāre

dar-ba-dar phir rahā huuñ

mujh ko phir merā khoyā huā saaz do

maiñ tumhārā muġhannī tumhāre liye

jab bhī aayā na.e giit laatā rahūñgā

sathiyo! main ne barson tumhaare liye

chand taron bahaaron ke sapne bune

husn aur ishq ke git gata raha

aarzuon ke aiwan sajata raha

main tumhaara mughanni tumhaare liye

jab bhi aaya nae git lata raha

aaj lekin mere daman-e-chaak mein

gard-e-rah-e-safar ke siwa kuchh nahin

mere barbat ke sine mein naghmon ka dam ghuT gaya

tanen chiKHon ke ambar mein dab gai hain

aur giton ke sur hichkiyan ban gae hain

main tumhaara mughanni hun naghma nahin hun

aur naghme ki taKHliq ka saz-o-saman

sathiyo! aaj tum ne bhasm kar diya hai

aur main apna TuTa hua saz thame

sard lashon ke ambar ko tak raha hun

mere chaaron taraf maut ki wahshaten nachti hain

aur insan ki haiwaniyat jag uThi hai

barbariyat ke KHun-KHar ifrit

apne napak jabDon ko khole

KHun pi pi ke ghurra rahe hain

bachche maon ki godon mein sahme hue hain

ismaten sar-barahana pareshan hain

har taraf shor-e-ah-o-buka hai

aur main is tabahi ke tufan mein

aag aur KHun ke haijaan mein

sar-nigun aur shikasta makanon ke malbe se pur raston par

apne naghmon ki jholi pasare

dar-ba-dar phir raha hun

mujh ko amn aur tahzib ki bhik do

mere giton ki lai mera sur meri nai

mere majruh honTon ko phir saunp do

sathiyo! main ne barson tumhaare liye

inqalab aur baghawat ke naghme alape

ajnabi raj ke zulm ki chhanw mein

sarfaroshi ke KHwabida jazbe ubhaare

aur us subh ki rah dekhi

jis mein is mulk ki ruh aazad ho

aaj zanjir-e-mahkumiyat kaT chuki hai

aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar

ajnabi qaum ke zulmat-afshan pharere ki manhus chhanw se aazad hain

khet sona ugalne ko bechain hain

wadiyan lahlahane ko betab hain

kohsaron ke sine mein haijaan hai

sang aur KHisht be-KHwab wa bedar hain

un ki aaankhon mein tamir ke KHwab hain

un ke KHwabon ko takmil ka rup do

mulk ki wadiyan ghaTiyan khetiyan

aurten bachchiyan

hath phailae KHairaat ki muntazir hain

in ko amn aur tahzib ki bhik do

maon ko un ke honTon ki shadabiyan

nanhe bachchon ko un ki KHushi baKHsh do

mulk ki ruh ko zindagi baKHsh do

mujh ko mera hunar meri lai baKHsh do

aaj sari faza hai bhikari

aur main is bhikari faza mein

apne naghmon ki jholi pasare

dar-ba-dar phir raha hun

mujh ko phir mera khoya hua saz do

main tumhaara mughanni tumhaare liye

jab bhi aaya nae git lata rahunga

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 121)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now