hawa chor hai
mire baal saare havā ne uḌaa.e
kabhī merā saarā badan gudgudā.e
havā chor hai kitnī muñh-zor hai
kabhī khiḌkiyāñ khaTkhaTātī huī
kabhī mere dar ko bajātī huī
kabhī ik ghaTā saath ghanghor hai
ḳhudā ne diyā garche qalb-e-salīm
zarā dekhiye rang-e-bād-e-nasīm
mujhe khīñchtī aaj kis or hai
bahut be-kalī hai yahāñ har Dagar
havā dasht se laa.ī hai ik ḳhabar
sunā hai ki raqsāñ koī mor hai
havā-e-fazā aur havā-e-nafas
mire chār-sū hai hisār-e-qafas
azal se ye nā-chīz kamzor hai
havā ko bhalā dosh deñ kab talak
bahut hā-o-hū ham kareñ kab talak
ye bāhar nahīñ dāḳhlī shor hai
havā kī maiñ kahtā kahānī tamām
agarche huī ye javānī tamām
magar mere dil meñ chhupā chor hai
ḳhudā quvvat-e-nutq detā agar
havā kahtī ai mālik-e-bahr-o-bar
mujhe jaañ se pyārā ye bhambhor hai
mere baal sare hawa ne uDae
kabhi mera sara badan gudgudae
hawa chor hai kitni munh-zor hai
kabhi khiDkiyan khaTkhaTati hui
kabhi mere dar ko bajati hui
kabhi ek ghaTa sath ghanghor hai
KHuda ne diya garche qalb-e-salim
zara dekhiye rang-e-baad-e-nasim
mujhe khinchti aaj kis or hai
bahut be-kali hai yahan har Dagar
hawa dasht se lai hai ek KHabar
suna hai ki raqsan koi mor hai
hawa-e-faza aur hawa-e-nafas
mere chaar-su hai hisar-e-qafas
azal se ye na-chiz kamzor hai
hawa ko bhala dosh den kab talak
bahut ha-o-hu hum karen kab talak
ye bahar nahin daKHli shor hai
hawa ki main kahta kahani tamam
agarche hui ye jawani tamam
magar mere dil mein chhupa chor hai
KHuda quwwat-e-nutq deta agar
hawa kahti ai malik-e-bahr-o-bar
mujhe jaan se pyara ye bhambhor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.