chand
vo niile āsmān par safed halqa
jise sab chāñd kahte haiñ
jise hind-o-pāk ke bachche maamā samajhte haiñ salām karte haiñ
jise sho.arā
hasīn chehroñ se ta.abīr karte haiñ
vo niile āsmān par safed halqa
chamaktā hai jo ghaTtā baḌhtā bhī hai
ḳhalā kī muñDeroñ pe chaltā bhī hai
ḳhayāl-e-mahbūb se
shab-e-tanhā.ī ko jagmagātā bhī hai āñsūoñ meñ jhilmilātā bhī hai
vo niile āsmān par safed halqa
ziyā jis kī yādoñ kā darpan dikhātī rahī
javāñ dil kī dhaḌkan jagātī rahī
ḳhayāloñ meñ
kisī ko bulātī rahī jazbāt gudgudātī rahī
vo niile āsmān par safed halqa
talāsh meñ jis kī ghire
butoñ kī tarah be-kahe be-sune
hayāt-o-maut se be-ḳhabar
hazāroñ sciencedāñ us pe jaane ko koshāñ rahe
vo niile āsmān par safed halqa
dikhā.ī dene ke bāvajūd bhī jo sab kā
bas ik ḳhayāl thā tasavvur thā
achānak ek din
usī insāñ ke qadmoñ ke nīche aa gayā
vo niile āsmān par safed halqa
na jis par koī zindagī hai
na husn-e-fitrat kī ridā yā oḌhnī hai
jahāñ sirf ḳhāmushī hai
vo niile āsmān par safed halqa
haqīqat jis kī sab samajh meñ aa ga.ī phir bhī
kisī shā.ir ne kyoñ apne mahbūb kī us se misāl dī
nazar meñ us kī vo hasīñ bhī kyā chāñd jaisā hai jahāñ kuchh bhī nahīñ
jahāñ hai bas chand lamhoñ kī chāñdnī
wo nile aasman par safed halqa
jise sab chand kahte hain
jise hind-o-pak ke bachche mama samajhte hain salam karte hain
jise shoara
hasin chehron se tabir karte hain
wo nile aasman par safed halqa
chamakta hai jo ghaTta baDhta bhi hai
KHala ki munDeron pe chalta bhi hai
KHayal-e-mahbub se
shab-e-tanhai ko jagmagata bhi hai aansuon mein jhilmilata bhi hai
wo nile aasman par safed halqa
ziya jis ki yaadon ka darpan dikhati rahi
jawan dil ki dhaDkan jagati rahi
KHayalon mein
kisi ko bulati rahi jazbaat gudgudati rahi
wo nile aasman par safed halqa
talash mein jis ki ghire
buton ki tarah be-kahe be-sune
hayat-o-maut se be-KHabar
hazaron sciencedan us pe jaane ko koshan rahe
wo nile aasman par safed halqa
dikhai dene ke bawajud bhi jo sab ka
bas ek KHayal tha tasawwur tha
achanak ek din
usi insan ke qadmon ke niche aa gaya
wo nile aasman par safed halqa
na jis par koi zindagi hai
na husn-e-fitrat ki rida ya oDhni hai
jahan sirf KHamushi hai
wo nile aasman par safed halqa
haqiqat jis ki sab samajh mein aa gai phir bhi
kisi shair ne kyon apne mahbub ki us se misal di
nazar mein us ki wo hasin bhi kya chand jaisa hai jahan kuchh bhi nahin
jahan hai bas chand lamhon ki chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.