Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawan

us palkoñ pe ghaTā ban ke jo chhāyā sāvan

phir to maiñ hañs paḌā kuchh is tarah barsā sāvan

chaḌhte sūraj ke shuāoñ se jo barsā sāvan

maiñ ne dekhā na sunā thā kabhī aisā sāvan

saarī jaañ khiñch ke chalī aa.ī mirī āñkhoñ meñ

phuul tarah khile zaḳhm jo aayā sāvan

ḳhirman-e-sabr ko bijlī ne jalāyā gir kar

jab kabhī dil tamannāoñ se uljhā sāvan

barq-o-bārāñ to hai tasvīr-e-hayāt-e-insāñ

hañs ke rone dikhātā hai tamāshā sāvan

yuuñ to pahle sameTe thā hazāroñ jalve

husn ke aks se kuchh aur bhī nikhrā sāvan

har taraf phuul khile rañg ke bādal barse

ai 'suhail' us nigāhoñ ne sajāyā sāvan

us ki palkon pe ghaTa ban ke jo chhaya sawan

phir to main hans paDa kuchh is tarah barsa sawan

chaDhte suraj ke shuaon se jo barsa sawan

main ne dekha na suna tha kabhi aisa sawan

sari jaan khinch ke chali aai meri aankhon mein

phul ki tarah khile zaKHm jo aaya sawan

KHirman-e-sabr ko bijli ne jalaya gir kar

jab kabhi dil ki tamannaon se uljha sawan

barq-o-baran to hai taswir-e-hayat-e-insan

hans ke rone ka dikhata hai tamasha sawan

yun to pahle hi sameTe tha hazaron jalwe

husn ke aks se kuchh aur bhi nikhra sawan

har taraf phul khile rang ke baadal barse

ai 'suhail' us ki nigahon ne sajaya sawan

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now