Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli barish

Suhail Kakorvi

pahli barish

Suhail Kakorvi

armān zamīñ ke jaag uThe dildār ye pahlī bārish hai

kal soch rahā thā saarā jahāñ dushvār ye pahlī bārish hai

ranjish jo hamāre beach rahī to aag falak ne barsā.ī

ab soch na kuchh mausam ko samajh ai yaar ye pahlī bārish hai

fitrat meñ nazar aate haiñ hameñ apnī mohabbat ke pahlū

inkār thā garmī aalam iqrār ye pahlī bārish hai

ehsās judā.ī donoñ taraf āñkhoñ se merī aañsū haiñ ravāñ

us paar na jaane kaisā samāñ is paar ye pahlī bārish hai

ġhunchoñ pe ajab shādābī hai aur jaag uThī hai hariyālī

tamhīd bahār-e-tāza dīdār ye pahlī bārish hai

aur kahīñ maiñ aur kahīñ āġhosh-e-tamannā suunī hai

aisā to kabhī pahle na huā is baar ye pahlī bārish hai

vo rahm-o-karam hai bil-āḳhir mujh ko to 'suhail' is par hai yaqīñ

bas us ināyat yāroñ iz.hār ye pahlī bārish hai

arman zamin ke jag uThe dildar ye pahli barish hai

kal soch raha tha sara jahan dushwar ye pahli barish hai

ranjish jo hamare beach rahi to aag falak ne barsai

ab soch na kuchh mausam ko samajh ai yar ye pahli barish hai

fitrat mein nazar aate hain hamein apni hi mohabbat ke pahlu

inkar tha garmi ka aalam iqrar ye pahli barish hai

ehsas judai donon taraf aankhon se meri aansu hain rawan

us par na jaane kaisa saman is par ye pahli barish hai

ghunchon pe ajab shadabi hai aur jag uThi hai hariyali

tamhid bahaar-e-taza ka didar ye pahli barish hai

tu aur kahin main aur kahin aaghosh-e-tamanna suni hai

aisa to kabhi pahle na hua is bar ye pahli barish hai

wo rahm-o-karam hai bil-aKHir mujh ko to 'suhail' is par hai yaqin

bas us ki inayat ka yaron izhaar ye pahli barish hai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now