Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nau-jawan KHatun se

Asrarul Haq Majaz

nau-jawan KHatun se

Asrarul Haq Majaz

hijāb-e-fitna-parvar ab uThā letī to achchhā thā

ḳhud apne husn ko pardā banā letī to achchhā thā

tirī nīchī nazar ḳhud terī ismat muhāfiz hai

is nashtar tezī aazmā letī to achchhā thā

tirī chīn-e-jabīñ ḳhud ik sazā qānūn-e-fitrat meñ

isī shamshīr se kār-e-sazā letī to achchhā thā

ye terā zard ruḳh ye ḳhushk lab ye vahm ye vahshat

apne sar se ye bādal haTā letī to achchhā thā

dil-e-majrūh ko majrūh-tar karne se kyā hāsil

aañsū poñchh kar ab muskurā letī to achchhā thā

tire zer-e-nagīñ ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho

maiñ ye kahtā huuñ arz-o-samā letī to achchhā thā

agar ḳhalvat meñ ne sar uThāyā bhī to kyā hāsil

bharī mahfil meñ aa kar sar jhukā letī to achchhā thā

tire māthe Tiikā mard qismat taarā hai

agar sāz-e-bedārī uThā letī to achchhā thā

ayaañ haiñ dushmanoñ ke ḳhanjaroñ par ḳhuun ke dhabbe

unheñ rañg-e-āriz se milā letī to achchhā thā

sanāneñ khīñch haiñ sar-phire bāġhī javānoñ ne

sāmān-e-jarāhat ab uThā letī to achchhā thā

tire māthe pe ye āñchal bahut ḳhuub hai lekin

is āñchal se ik parcham banā letī to achchhā thā

hijab-e-fitna-parwar ab uTha leti to achchha tha

KHud apne husn ko parda bana leti to achchha tha

teri nichi nazar KHud teri ismat ki muhafiz hai

tu is nashtar ki tezi aazma leti to achchha tha

teri chin-e-jabin KHud ek saza qanun-e-fitrat mein

isi shamshir se kar-e-saza leti to achchha tha

ye tera zard ruKH ye KHushk lab ye wahm ye wahshat

tu apne sar se ye baadal haTa leti to achchha tha

dil-e-majruh ko majruh-tar karne se kya hasil

tu aansu ponchh kar ab muskura leti to achchha tha

tere zer-e-nagin ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho

main ye kahta hun tu arz-o-sama leti to achchha tha

agar KHalwat mein tu ne sar uThaya bhi to kya hasil

bhari mahfil mein aa kar sar jhuka leti to achchha tha

tere mathe ka Tika mard ki qismat ka tara hai

agar tu saz-e-bedari uTha leti to achchha tha

ayan hain dushmanon ke KHanjaron par KHun ke dhabbe

unhen tu rang-e-ariz se mila leti to achchha tha

sananen khinch li hain sar-phire baghi jawanon ne

tu saman-e-jarahat ab uTha leti to achchha tha

tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin

tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Jagjit Singh

Jagjit Singh

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 130)
  • Author : Asrarul Haque Majaz
  • Edition : 2006

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now