Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghas to mujh jaisi hai

Kishwar Naheed

ghas to mujh jaisi hai

Kishwar Naheed

ghaas bhī mujh jaisī hai

pāñv-tale bichh kar zindagī murād paatī hai

magar ye bhiig kar kis baat gavāhī bantī hai

sharmsārī aañch

ki jazbe hiddat

ghaas bhī mujh jaisī hai

zarā sar uThāne ke qābil ho

to kāTne vaalī machine

use maḳhmal banāne saudā liye

hamvār kartī rahtī hai

aurat ko bhī hamvār karne ke liye

tum kaise kaise jatan karte ho

na zamīñ numū ḳhvāhish martī hai

na aurat

merī maano to vahī pagDanDī banāne ḳhayāl durust thā

jo hausloñ shikastoñ aañch na sah sakeñ

vo paivand-e-zamīñ ho kar

yūñhī zor-āvaroñ ke liye rāsta banāte haiñ

magar vo par-e-kāh haiñ

ghaas nahīñ

ghaas to mujh jaisī hai!

The grass is really like me

ghas bhi mujh jaisi hai

panw-tale bichh kar hi zindagi ki murad pati hai

magar ye bhig kar kis baat gawahi banti hai

sharmsari ki aanch ki

ki jazbe ki hiddat ki

ghas bhi mujh jaisi hai

zara sar uThane ke qabil ho

to kaTne wali machine

use maKHmal banane ka sauda liye

hamwar karti rahti hai

aurat ko bhi hamwar karne ke liye

tum kaise kaise jatan karte ho

na zamin ki numu ki KHwahish marti hai

na aurat ki

meri mano to wahi pagDanDi banane ka KHayal durust tha

jo hauslon ki shikaston ki aanch na sah saken

wo paiwand-e-zamin ho kar

yunhi zor-awaron ke liye rasta banate hain

magar wo par-e-kah hain

ghas nahin

ghas to mujh jaisi hai!

The grass is really like me

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Kishwar Naheed

Kishwar Naheed

RECITATIONS

Kishwar Naheed

Kishwar Naheed,

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

Kishwar Naheed

ghas to mujh jaisi hai Kishwar Naheed

Azra Naqvi

Ghaas to mujh jesi hai Azra Naqvi

Source :
  • Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 471)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now