Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

Ejaz Farooqi

aurat

Ejaz Farooqi

ne mere dukh ḳhātir

kitne rañj sahe

apnī god meñ ne mujh ko

apne lahū chāñdnī baḳhshī

maiñ ik chāñd banā

jis ne dhartī se ye ghor bhayānak añdhiyāroñ ḳhauf miTāyā

jab zīnat hajla banī

ne apne ḳhuun ātish mujh ko baḳhshī

maiñ ik sūraj ban kar chamkā

jis dhuup meñ merī ruuh qaidī shāhīñ

naag ke phande se chhūTā

jab aa.ī

mere jigar ThanDak ban kar

ne merī aag pe apne aañsū bikhere

merī aag meñ phuul uge

maiñ ik shā.ir

apne fan afshāñ le kar

terī maañg sajāne aayā

tu ne mere dukh ki KHatir

kitne ranj sahe

apni god mein tu ne mujh ko

apne lahu ki chandni baKHshi

main ek chand bana

jis ne dharti se ye ghor bhayanak andhiyaron ka KHauf miTaya

jab tu zinat hajla bani

tu ne apne KHun ki aatish mujh ko baKHshi

main ek suraj ban kar chamka

jis ki dhup mein meri ruh ka qaidi shahin

nag ke phande se chhuTa

tu jab aai

mere jigar ki ThanDak ban kar

tu ne meri aag pe apne aansu bikhere

meri aag mein phul uge

main ek shair

apne fan ki afshan le kar

teri mang sajaane aaya

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now