Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

Shaad Aarfi

aurat

Shaad Aarfi

tābish-e-ḳhurshīd nūr-e-māh paanī jhalak

ḳhanda-e-qulqul sadā koyal ġhunchoñ chaTak

larzish-e-sīmāb bijlī taḌap shāḳhoñ loch

aql tezī tabī.at upach shā.ir soch

iztirāb-e-mauj kāñToñ ḳhalish nāgan ke bal

tiir sur.at kamāñ ijz shamshīroñ ke phal

aab motī chamak kundan hiire damak

ashrafī ruup Taksālī mahāsil khanak

dāman-e-kohsār ke manzar nava-e-ābshār

shor-e-dariyā karvaTeñ lahroñ sāhil qarār

zamzame itr kaif-e-naġhma lai puḳhtagī

shorish-e-mai, laġhzish-e-mai-nosh, josh-e-be-ḳhudī

āhu-e-ram-ḳhurda vahshat ḳharāre teziyāñ

gaa.e sanjīdgī jugnū ātish-reziyāñ

vādī-e-kashmīr nuzhat guloñ rañg-o-bū

sarv qad kabk raftār qamrī gulū

zulmat-e-shām-e-avadh sub.h-e-banaras nikhār

aagre ke taaj azmat himāla vaqār

somnātī rif.ateñ bhārat tahzīb-e-qadīm

pāTlī-putra shohrat magdh shān-e-azīm

dil-pazīrī-e-azāñ dildārī-e-nāqūs-e-dair

sehan-e-masjid taqaddus partav-e-fānūs-e-dair

''harbhajan'' faiz husn-e-e'tiqād-e-barhaman

kumbh ke mele zīnat vaq.at-e-gañg-o-jaman

barbat o chañg o surūd o arġhanūñ ke zer-o-bam

dil-kashī pardoñ āvāzoñ ke jaadū taal sam

talḳhi-e-anjām jab sab koshisheñ nākām hoñ

ḳhushnumā seboñ halkī turshiyāñ jab ḳhaam hoñ

dekh kar ye iqtibās-e-kār-gāh-e-ins-o-jāñ

kār-pardāzān-e-qudarat meñ huiiñ sargoshiyāñ

ek bolā imtizāj un qayāmat saaz hai

dūsrā kahne lagā ḳhāmosh koī raaz hai

ye anāsir ek muddat tak rahe garm-e-amal

āḳhirī tahrīk-e-ismat se hue aapas meñ hal

sub.h-dam jab gosha gosha matla-e-anvār thā

zarra zarra ālam-e-nairañg sarshār thā

is murkkab ko usūlī juñbisheñ hone lagīñ

ye hayūlā irtiqā.ī manzileñ tai kar gayā

shah-par-e-parvāz iffat se bulandī par gayā

e'tidāl-e-unsurī par liyā jab iqtidār

ain-fitrat ke mutābiq shakl ik iḳhtiyār

aa.ī a.azā meñ gudāzī aur garmī jism meñ

aa.ī ruḳhsāroñ pe surḳhī aur narmī jism meñ

pāya-e-takmīl ko pahuñchā jūñhī ye shāhkār

dast-e-qudrat ne TaTolī nabz us baar baar

bistar-e-nik.hat pe ye putlī jo mahv-e-ḳhvāb thī

mast añgḌā.ī ke hāthoñ jaag uThī sharmā ga.ī

dekh kar shā.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahā

aur be-soche zamāne ne use ''aurat'' kahā

tabish-e-KHurshid nur-e-mah pani ki jhalak

KHanda-e-qulqul sada koyal ki ghunchon ki chaTak

larzish-e-simab bijli ki taDap shaKHon ka loch

aql ki tezi tabiat ki upach shair ka soch

iztirab-e-mauj kanTon ki KHalish nagan ke bal

tir ki surat kaman ka ijz shamshiron ke phal

aab moti ki chamak kundan ki hire ki damak

ashrafi ka rup Taksali mahasil ki khanak

daman-e-kohsar ke manzar nawa-e-abshaar

shor-e-dariya karwaTen lahron ki sahil ka qarar

zamzame ka itr kaif-e-naghma lai ki puKHtagi

shorish-e-mai, laghzish-e-mai-nosh, josh-e-be-KHudi

aahu-e-ram-KHurda ki wahshat KHarare teziyan

gae ki sanjidgi jugnu ki aatish-reziyan

wadi-e-kashmir ki nuzhat gulon ka rang-o-bu

sarw ka qad kabk ki raftar qamri ka gulu

zulmat-e-sham-e-awadh subh-e-banaras ka nikhaar

aagre ke taj ki azmat himala ka waqar

somnati rifaten bhaarat ki tahzib-e-qadim

paTli-putra ki shohrat magdh ki shan-e-azim

dil-paziri-e-azan dildari-e-naqus-e-dair

sehan-e-masjid ka taqaddus partaw-e-fanus-e-dair

harbhajan ka faiz husn-e-e'tiqad-e-barhaman

kumbh ke mele ki zinat waqat-e-gang-o-jaman

barbat o chang o surud o arghanun ke zer-o-bam

dil-kashi pardon ki aawazon ke jadu tal sam

talKHi-e-anjam jab sab koshishen nakaam hon

KHushnuma sebon ki halki turshiyan jab KHam hon

dekh kar ye iqtibas-e-kar-gah-e-ins-o-jaan

kar-pardazan-e-qudarat mein huin sargoshiyan

ek bola imtizaj un ka qayamat saz hai

dusra kahne laga KHamosh koi raaz hai

ye anasir ek muddat tak rahe garm-e-amal

aaKHiri tahrik-e-ismat se hue aapas mein hal

subh-dam jab gosha gosha matla-e-anwar tha

zarra zarra aalam-e-nairang ka sarshaar tha

is murkkab ko usuli junbishen hone lagin

ye hayula irtiqai manzilen tai kar gaya

shah-par-e-parwaz iffat se bulandi par gaya

e'tidal-e-unsuri par pa liya jab iqtidar

ain-fitrat ke mutabiq shakl ki ek iKHtiyar

aai aaza mein gudazi aur garmi jism mein

aai ruKHsaron pe surKHi aur narmi jism mein

paya-e-takmil ko pahuncha junhi ye shahkar

dast-e-qudrat ne TaToli nabz us ki bar bar

bistar-e-nikhat pe ye putli jo mahw-e-KHwab thi

mast angDai ke hathon jag uThi sharma gai

dekh kar shair ne us ko nukta-e-hikmat kaha

aur be-soche zamane ne use aurat kaha

Source :
  • Book : meri behtareen nazam (Pg. 70)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now