Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat march: taswir ka dusra ruKH

Rehman Faris

aurat march: taswir ka dusra ruKH

Rehman Faris

suno bint-e-havvā!

maiñ aadam beTā huuñ

aao tasallī se nimTāyen jhagḌā

ye havvā izzat havvā banā kar dikhāyā gayā hai

mujhe tum se nāhaq laḌāyā gayā hai

maiñ aadam beTā huuñ aur jāntā huuñ

ki mard aur aurat fitrat gaaḌī ke pahiye haiñ do

aur donoñ lāzim haiñ donoñ zarūrī

na ho ek bhī to kahānī adhūrī

mujhe ye ḳhabar hai

ki mard aur aurat mohabbat ke sikke ke do ruḳh haiñ

aur donoñ ruḳh haiñ zarūrī

na ho ek bhī to kahānī adhūrī

tum aur maiñ bahut der se ham safar haiñ

tum aur maiñ ikaTThe jannat ke ghar se nikāle ga.e the

aur is ḳhāk-dāñ meñ uchhāle ga.e the

chalo maiñ ne maanā ki shahr-e-havas meñ haiñ kaafī darinde

jinhoñ ne sadā ibn-e-ādam shohrat ko pāmāl rakkhā

magar vo darinde to gintī ke haiñ

anginat mard vo haiñ jinhoñ ne tumheñ shān-o-takrīm baḳhshī

kabhī baap ban kar kabhī bhaa.ī ban kar kabhī beTā ban kar

vahī baap jis ne tumhāre liye apnī jaañ bech kar bhī khilaune ḳharīde

vahī bhaa.ī jis ne tumhāre dupaTTe ko qur.ān tarah pākīza jaanā

vahī beTā jis ne hamesha tumhāre pairoñ tale apnī jannat talāshī

ye sab mard haiñ aur tumhāre muhāfiz

galī meñ agar ik darinde ne tum par kasā koī jumla

ka.ī ajnabī mard bhī tab tumhārī hifāzat ko aa.e

koī mard tezāb-gardī ko aayā to kitne mardoñ ne tum ko bachāyā

suno bint-e-havvā

bahan bhī ho beTī bhī ho maañ bhī ho tum

mire saare dardoñ darmāñ bhī ho tum

magar ye bhī sach hai

tumhāre liye maiñ sharīk-e-hayāt o sharīk-e-safar huuñ

sharīk-e-ġham-e-jāñ sharīk-e-shab-e-ġham sharīk-e-sahar huuñ

tumhārā har ik ashk hai merā aañsū

tumhārī hañsī merī apnī hañsī hai

chalo sulh kar leñ

chalo apne bachchoñ ā.inda nasloñ ḳhātir

mohabbat ā.inda fasloñ ḳhātir

jhagaḌnā kareñ ḳhatm aur sulh kareñ

chaleñ aaj shāna-ba-shāna na.ī zindagī ke na.e march meñ ham

ki jis meñ chalegī barābar barābar

tumhārī bhī marzī

hamārī bhī marzī

suno bint-e-hawwa!

main aadam ka beTa hun

aao tasalli se nimTayen jhagDa

ye hawwa ki izzat ka hawwa bana kar dikhaya gaya hai

mujhe tum se nahaq laDaya gaya hai

main aadam ka beTa hun aur jaanta hun

ki mard aur aurat hi fitrat ki gaDi ke pahiye hain do

aur donon hi lazim hain donon zaruri

na ho ek bhi to kahani adhuri

mujhe ye KHabar hai

ki mard aur aurat mohabbat ke sikke ke do ruKH hain

aur donon ruKH hain zaruri

na ho ek bhi to kahani adhuri

tum aur main bahut der se hum safar hain

tum aur main ikaTThe hi jannat ke ghar se nikale gae the

aur is KHak-dan mein uchhaale gae the

chalo main ne mana ki shahr-e-hawas mein hain kafi darinde

jinhon ne sada ibn-e-adam ki shohrat ko pamal rakkha

magar wo darinde to ginti ke hain

anginat mard wo hain jinhon ne tumhein shan-o-takrim baKHshi

kabhi bap ban kar kabhi bhai ban kar kabhi beTa ban kar

wahi bap jis ne tumhaare liye apni jaan bech kar bhi khilaune KHaride

wahi bhai jis ne tumhaare dupaTTe ko quran ki tarah pakiza jaana

wahi beTa jis ne hamesha tumhaare hi pairon tale apni jannat talashi

ye sab mard hain aur tumhaare muhafiz

gali mein agar ek darinde ne tum par kasa koi jumla

kai ajnabi mard bhi tab tumhaari hifazat ko aae

koi mard tezab-gardi ko aaya to kitne hi mardon ne tum ko bachaya

suno bint-e-hawwa

bahan bhi ho beTi bhi ho man bhi ho tum

mere sare dardon ka darman bhi ho tum

magar ye bhi sach hai

tumhaare liye main sharik-e-hayat o sharik-e-safar hun

sharik-e-gham-e-jaan sharik-e-shab-e-gham sharik-e-sahar hun

tumhaara har ek ashk hai mera aansu

tumhaari hansi meri apni hansi hai

chalo sulh kar len

chalo apne bachchon ki aainda naslon ki KHatir

mohabbat ki aainda faslon ki KHatir

jhagaDna karen KHatm aur sulh karen

chalen aaj shana-ba-shana nai zindagi ke nae march mein hum

ki jis mein chalegi barabar barabar

tumhaari bhi marzi

hamari bhi marzi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now