Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

Majeed Amjad

aurat

Majeed Amjad

prem mandir paak devī husn mamlikat raanī

hayāt-e-insāñ qismatoñ par tirī nigāhoñ hukmarānī

jahān-e-ulfat tirī qalam-rau harīm-e-dil terī rājdhānī

bahār-e-fitrat tire lab-e-lāl-gūñ doshīza muskurāhaT

nizām-e-kaunain terī āñkhoñ ke surḳh Doroñ thartharāhaT

faroġh-e-sad-kā.enāt terī jabīn sīmīñ zau-fishānī

bhaḌakte sīnoñ meñ bas rahī haiñ qarār ban kar tirī adā.eñ

tarastī rūhoñ ko jām-e-ishrat pilā rahī haiñ tirī vafā.eñ

rag-e-jahāñ meñ thirak rahī hai sharāb ban kar tirī javānī

dimāġh-e-parvar-digār meñ jo azal ke din se machal rahā thā

zabān-e-taḳhlīq-e-dahr se bhī na jis iz.hār ho sakā thā

numūd terī usī muqaddas hasīñ taḳhayyul tarjumānī

hai vādi-e-nīl par tirā abr-e-zulf sāya-kunāñ abhī tak

haiñ jām-e-īrāñ mai meñ tere laboñ shīrīniyāñ abhī tak

fasāna-go hai tirī abhī tak hadīs-e-yūnāñ ḳhūñ-chakānī'

hai terī ulfat ke raag par mauj-e-rūd-e-gañgā ko vajd ab tak

tirī mohabbat aag meñ jal rahā hai sahrā-e-najd ab tak

jamāl-e-zahra tire malā.ek fareb jalvoñ ik nishānī

tirī nigāhoñ ke sahar se gul-fishāñ hai sher o adab duniyā

tire tabassum ke kaif se hai ye ġham duniyā tarab duniyā

tire laboñ miThās se shakkarīñ hai zahrāb-e-zindagānī

tirā tabassum kalī kalī meñ tirā tarannum chaman chaman meñ

rumūz-e-hastī ke pech-o-ḳham tere gesuoñ shikan shikan meñ

kitāb-e-tārīḳh-e-zindagī ke varaq varaq par tirī kahānī

jo na hotī to yuuñ daraḳhshanda sham-e-bazm-e-jahāñ na hotī

vajūd-e-arz-o-samā na hotā numūd-e-kaun-o-makāñ na hotī

bashar mahdūdiyat ḳhātir tarastī aalam be-karānī

tu prem mandir ki pak dewi tu husn ki mamlikat ki rani

hayat-e-insan ki qismaton par teri nigahon ki hukmarani

jahan-e-ulfat teri qalam-rau harim-e-dil teri rajdhani

bahaar-e-fitrat tere lab-e-lal-gun ki doshiza muskurahaT

nizam-e-kaunain teri aankhon ke surKH Doron ki thartharahaT

farogh-e-sad-kaenat teri jabin simin ki zau-fishani

bhaDakte sinon mein bas rahi hain qarar ban kar teri adaen

tarasti ruhon ko jam-e-ishrat pila rahi hain teri wafaen

rag-e-jahan mein thirak rahi hai sharab ban kar teri jawani

dimagh-e-parwar-digar mein jo azal ke din se machal raha tha

zaban-e-taKHliq-e-dahr se bhi na jis ka izhaar ho saka tha

numud teri usi muqaddas hasin taKHayyul ki tarjumani

hai wadi-e-nil par tera abr-e-zulf saya-kunan abhi tak

hain jam-e-iran ki mai mein tere labon ki shiriniyan abhi tak

fasana-go hai teri abhi tak hadis-e-yunan ki KHun-chakani'

hai teri ulfat ke rag par mauj-e-rud-e-ganga ko wajd ab tak

teri mohabbat ki aag mein jal raha hai sahra-e-najd ab tak

jamal-e-zahra tere malaek fareb jalwon ki ek nishani

teri nigahon ke sahar se gul-fishan hai sher o adab ki duniya

tere tabassum ke kaif se hai ye gham ki duniya tarab ki duniya

tere labon ki miThas se shakkarin hai zahrab-e-zindagani

tera tabassum kali kali mein tera tarannum chaman chaman mein

rumuz-e-hasti ke pech-o-KHam tere gesuon ki shikan shikan mein

kitab-e-tariKH-e-zindagi ke waraq waraq par teri kahani

jo tu na hoti to yun daraKHshanda sham-e-bazm-e-jahan na hoti

wajud-e-arz-o-sama na hota numud-e-kaun-o-makan na hoti

bashar ki mahdudiyat ki KHatir tarasti aalam ki be-karani

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 209)
  • Author : Majiid Amjad
  • Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
  • Edition : 2011

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now