Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

Sahir Ludhianvi

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

Sahir Ludhianvi

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

jab chāhā maslā kuchlā jab chāhā dhutkār diyā

tultī hai kahīñ dīnāroñ meñ biktī hai kahīñ bāzāroñ meñ

nañgī nachvā.ī jaatī hai ayyāshoñ ke darbāroñ meñ

ye vo be-izzat chiiz hai jo baT jaatī hai izzat-dāroñ meñ

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

mardoñ ke liye har zulm ravā aurat ke liye ronā bhī ḳhatā

mardoñ ke liye har aish haq aurat ke liye jiinā bhī sazā

mardoñ ke liye lākhoñ sejeñ, aurat ke liye bas ek chitā

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

jin sīnoñ ne in ko duudh diyā un sīnoñ ko bevpār kiyā

jis kokh meñ in jism Dhalā us kokh kārobār kiyā

jis tan se uge koñpal ban kar us tan ko zalīl-o-ḳhvār kiyā

sansār har ik be-sharmī ġhurbat god meñ paltī hai

chakloñ meñ aa kar ruktī hai fāqoñ se jo raah nikaltī hai

mardoñ havas hai jo aksar aurat ke paap meñ Dhaltī hai

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

aurat sansār qismat hai phir bhī taqdīr heTī hai

autār payambar jannatī hai phir bhī shaitān beTī hai

ye vo bad-qismat maañ hai jo beToñ sej pe leTī hai

aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya

tulti hai kahin dinaron mein bikti hai kahin bazaron mein

nangi nachwai jati hai ayyashon ke darbaron mein

ye wo be-izzat chiz hai jo baT jati hai izzat-daron mein

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi KHata

mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jina bhi saza

mardon ke liye lakhon sejen, aurat ke liye bas ek chita

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

jin sinon ne in ko dudh diya un sinon ko bewpar kiya

jis kokh mein in ka jism Dhala us kokh ka karobar kiya

jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zalil-o-KHwar kiya

sansar ki har ek be-sharmi ghurbat ki god mein palti hai

chaklon hi mein aa kar rukti hai faqon se jo rah nikalti hai

mardon ki hawas hai jo aksar aurat ke pap mein Dhalti hai

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

aurat sansar ki qismat hai phir bhi taqdir ki heTi hai

autar payambar jannati hai phir bhi shaitan ki beTi hai

ye wo bad-qismat man hai jo beTon ki sej pe leTi hai

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Lata Mangeshkar

Lata Mangeshkar

Source :
  • Book : kulliyat-e-sahir (Pg. 475)
  • Author : sahir ludhianvi
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now