lauh-e-ghair-mahfuz
vaqt kī ye garāñ-māya tasvīr ham
ġhair-mahfūz lauhoñ pe likhne ko majbūr haiñ
ahl-e-fikr-o-nazar
aaj aise sitam-pesha mausam meñ mahsūr haiñ
jahāñ harf-o-mā'nī jahālat lage
matā'-e-hunar ek tohmat lage
jahāñ raushnī aag hai dhuup hai
sadāqat himāqat kā bahrūp hai
koī qadr zabt-e-yaqīn meñ nahīñ
koī mo'jiza āstīñ meñ nahīñ
apne alfāz se kitne nādim haiñ ham
hujūm-e-ajal meñ inheñ chhoḌ sakte nahīñ
marg-e-āġhāz dhāre kā muñh moḌ sakte nahīñ
aaj kā almiya likheñ kis lauh par
koī tahrīr in bārishoñ kī rutoñ meñ Thahartī nahīñ
ye āshob kyūñkar raqam ho
ki har lauh-e-mahfūz ab ġhair-mahfūz hai
waqt ki ye garan-maya taswir hum
ghair-mahfuz lauhon pe likhne ko majbur hain
ahl-e-fikr-o-nazar
aaj aise sitam-pesha mausam mein mahsur hain
jahan harf-o-ma'ni jahaalat lage
mata'-e-hunar ek tohmat lage
jahan raushni aag hai dhup hai
sadaqat himaqat ka bahrup hai
koi qadr zabt-e-yaqin mein nahin
koi mo'jiza aastin mein nahin
apne alfaz se kitne nadim hain hum
hujum-e-ajal mein inhen chhoD sakte nahin
marg-e-aghaz dhaare ka munh moD sakte nahin
aaj ka almiya likhen kis lauh par
koi tahrir in barishon ki ruton mein Thaharti nahin
ye aashob kyunkar raqam ho
ki har lauh-e-mahfuz ab ghair-mahfuz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.