KHud-agahi
vo kaisī tārīk ghaḌī thī
jab mujh ko ehsās huā thā
maiñ tanhā huuñ
us din bhī sīdhā-sāda sūraj niklā thā
shahr meñ koī shor nahīñ thā
ghar meñ koī aur nahīñ thā
ammāñ aaTā gūñdh rahī thiiñ
abbā chārpā.ī par baiThe uuñgh rahe the
dhīre dhīre dhuup chaḌhī thī
aur achānak dil meñ ye ḳhvāhish ubhrī thī
maiñ duniyā se chhuTTī le luuñ
apne kamre ko andar se taalā de kar kunjī kho kar
zor se chīḳhūñ chīḳhtā jā.ūñ
lekin koī na sunñe paa.e
chāqū se ek ek rag-o-reshe ko kāTūñ
aur bhayānak sachchā.ī kā dariyā phūTe
har kapḌe ko aag lagā duuñ
sho.aloñ meñ nañge-pan kā sannāTā kuude
vo din thā aur aaj kā din hai
kamre ke andar se taalā lagā huā hai
kunjī gum hai
maiñ zoroñ se chīḳh rahā huuñ
mere jism kā ek ek resha kaTā huā hai
sab kapḌoñ meñ aag lagī hai
bāhar sab pahle jaisā hai
koī nahīñ jo kamre kā darvāza toḌe
koī nahīñ jo apnā khel zarā sā chhoḌe
wo kaisi tarik ghaDi thi
jab mujh ko ehsas hua tha
main tanha hun
us din bhi sidha-sada suraj nikla tha
shahr mein koi shor nahin tha
ghar mein koi aur nahin tha
amman aaTa gundh rahi thin
abba chaarpai par baiThe ungh rahe the
dhire dhire dhup chaDhi thi
aur achanak dil mein ye KHwahish ubhri thi
main duniya se chhuTTi le lun
apne kamre ko andar se tala de kar kunji kho kar
zor se chiKHun chiKHta jaun
lekin koi na sunne pae
chaqu se ek ek rag-o-reshe ko kaTun
aur bhayanak sachchai ka dariya phuTe
har kapDe ko aag laga dun
shoalon mein nange-pan ka sannaTa kude
wo din tha aur aaj ka din hai
kamre ke andar se tala laga hua hai
kunji gum hai
main zoron se chiKH raha hun
mere jism ka ek ek resha kaTa hua hai
sab kapDon mein aag lagi hai
bahar sab pahle jaisa hai
koi nahin jo kamre ka darwaza toDe
koi nahin jo apna khel zara sa chhoDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.