nat-e-rasul
ham haiñ tumhāre tum ho hamāre
mohammad pyāre
tum ho chāñd aur ham haiñ taare
mohammad pyāre
sab se achchhā diin tumhārā
hukm-e-ḳhudā aa.iin tumhārā
tum ne hamāre zehn sañvāre
mohammad pyāre
pyaar sikhāyā adl sikhāyā
rang-o-nasl kā farq miTāyā
duur kiye saare añdhiyāre
mohammad pyāre
bandoñ ko maulā se milāyā
qatroñ ko dariyā se milāyā
moḌe tum ne vaqt ke dhāre
mohammad pyāre
gumrāhoñ ko raah dikhā.ī
qātil bhī Thahre shaidā.ī
tum jiite aur dushman haare
mohammad pyāre
sunnat aur qur.ān pe chal ke
kahlā.eñ shahkār amal ke
māñgeñ duā ham mil ke saare
mohammad pyāre
hum hain tumhaare tum ho hamare
mohammad pyare
tum ho chand aur hum hain tare
mohammad pyare
sab se achchha din tumhaara
hukm-e-KHuda aain tumhaara
tum ne hamare zehn sanware
mohammad pyare
pyar sikhaya adl sikhaya
rang-o-nasl ka farq miTaya
dur kiye sare andhiyare
mohammad pyare
bandon ko maula se milaya
qatron ko dariya se milaya
moDe tum ne waqt ke dhaare
mohammad pyare
gumrahon ko rah dikhai
qatil bhi Thahre shaidai
tum jite aur dushman haare
mohammad pyare
sunnat aur quran pe chal ke
kahlaen shahkar amal ke
mangen dua hum mil ke sare
mohammad pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.