aap mahbub-e-KHuda ya-mustafa
aap mahbūb-e-ḳhudā yā-mustafā
ho gayā dil aap kā yā-mustafā
vo haqīqat meñ kahā allāh ne
aap ne jo kuchh kahā yā-mustafā
aap par aur aap ke farmān par
jān-o-dil se ham fidā yā-mustafā
aap ke naqsh-e-qadam par ham chaleñ
aap sab ke rahnumā yā-mustafā
vāliyān-e-mulk sultāñ tājvar
aap ke dar ke gadā yā-mustafā
ummatoñ meñ afzal ummat aap kī
aap shāh-e-ambiyā yā-mustafā
dīn-e-haq kī aap ne ta.alīm dī
aap haq haiñ haq-numā yā-mustafā
aap hī ne to kiyā insān ko
ḳhud-nigar ḳhud-āshnā yā-mustafā
aap par haiñ ḳhatm saarī azmateñ
thā na hogā aap sā yā-mustafā
har ghaḌī maiñ aap par bhejūñ darūd
dil kahe salle-alā yā-mustafā
aap mahbub-e-KHuda ya-mustafa
ho gaya dil aap ka ya-mustafa
wo haqiqat mein kaha allah ne
aap ne jo kuchh kaha ya-mustafa
aap par aur aap ke farman par
jaan-o-dil se hum fida ya-mustafa
aap ke naqsh-e-qadam par hum chalen
aap sab ke rahnuma ya-mustafa
waliyan-e-mulk sultan tajwar
aap ke dar ke gada ya-mustafa
ummaton mein afzal ummat aap ki
aap shah-e-ambiya ya-mustafa
din-e-haq ki aap ne talim di
aap haq hain haq-numa ya-mustafa
aap hi ne to kiya insan ko
KHud-nigar KHud-ashna ya-mustafa
aap par hain KHatm sari azmaten
tha na hoga aap sa ya-mustafa
har ghaDi main aap par bhejun darud
dil kahe salle-ala ya-mustafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.