mera paDosi koi mal-dar thoDi hai
mirā paḌosī koī māl-dār thoḌī hai
ye car bank kī hai us kī car thoḌī hai
har ek mulk meñ jā.eñge khā.eñge juute
ki buz-diloñ meñ hamārā shumār thoḌī hai
ḳhudā kā shukr hai chakkar ka.ī se haiñ apne
bas ek biivī pe dār-o-madār thoḌī hai
gale meñ Daal ke bāheñ saḌak pe ghūmeñge
hai naqd ishq hamārā udhār thoḌī hai
hamārā pyaar jo qaazī nikāh tak pahoñche
hamāre biich koī itnā pyaar thoḌī hai''
jo phone band rakhūñ call na uThā.ūñ maiñ
kisī ke baap kā mujh pe udhār thoḌī hai
mera paDosi koi mal-dar thoDi hai
ye car bank ki hai us ki car thoDi hai
har ek mulk mein jaenge khaenge jute
ki buz-dilon mein hamara shumar thoDi hai
KHuda ka shukr hai chakkar kai se hain apne
bas ek biwi pe dar-o-madar thoDi hai
gale mein Dal ke bahen saDak pe ghumenge
hai naqd ishq hamara udhaar thoDi hai
hamara pyar jo qazi nikah tak pahonche
hamare bich koi itna pyar thoDi hai
jo phone band rakhun call na uThaun main
kisi ke bap ka mujh pe udhaar thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.