main tutor tha
maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisī kī bañdariyā nachātā phirtā thā
kahīñ maiñ sofe pe baiThā kahīñ chatā.ī par
kahīñ Tikāyā gayā kharrī chārpā.ī par
kahīñ se niklā kisī la.al kī piTā.ī par
kisī aziiz ne Tarḳhā diyā miThā.ī par
maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisī kī bañdariyā nachātā phirtā thā
na koī shaam mirī apnī shaam hotī thī
ki merī shaam to bachchoñ ke naam hotī thī
pa jab kisī kī mamī ham-kalām hotī thī
to mere alam kī turkī tamām hotī thī
maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisī kī bandariyā nachātā phirtā thā
jo chhoTā bhaa.ī bhī shāgird kā koī hotā
to vo bhī aan ke merī hī god meñ sotā
baḌe ke piTne pe chhoTā jo phuuT kar rotā
maiñ shervānī ke dhabboñ ko der tak dhotā
maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisī kī bandariyā nachātā phirtā thā
har ik qimāsh ke bachche paḌhā diye maiñ ne
matā-e-ilm ke nalke lagā diye maiñ ne
jo khoTe sikke the vo bhī chalā diye maiñ ne
jo a.s.s the c.s.s banā diye maiñ ne
maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisiī kī bandariyā nachātā phirtā thā
na qadar-dāñ na koī sāhib-e-nazar paayā
na ghaaT hī kā rahā maiñ na koī ghar paayā
ḳhitāb paayā to sūkhā saḌā sā ''sir'' paayā
maiñ apnī qaum ke bachche paḌhā ke bhar paayā
maiñ tutor thā meñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā
mudarrisī kī bandariyā nachātā phirtā thā
main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
kahin main sofe pe baiTha kahin chatai par
kahin Tikaya gaya kharri chaarpai par
kahin se nikla kisi lal ki piTai par
kisi aziz ne TarKHa diya miThai par
main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
na koi sham meri apni sham hoti thi
ki meri sham to bachchon ke nam hoti thi
pa jab kisi ki mami ham-kalam hoti thi
to mere alam ki turki tamam hoti thi
main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
jo chhoTa bhai bhi shagird ka koi hota
to wo bhi aan ke meri hi god mein sota
baDe ke piTne pe chhoTa jo phuT kar rota
main sherwani ke dhabbon ko der tak dhota
main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
har ek qimash ke bachche paDha diye main ne
mata-e-ilm ke nalke laga diye main ne
jo khoTe sikke the wo bhi chala diye main ne
jo ass the css bana diye main ne
main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisii ki bandariya nachata phirta tha
na qadar-dan na koi sahib-e-nazar paya
na ghaT hi ka raha main na koi ghar paya
KHitab paya to sukha saDa sa sir paya
main apni qaum ke bachche paDha ke bhar paya
main tutor tha mein ghar ghar paDhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 63)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.