do bhi kyun!
mere dost ke chaar adad jo bachche haiñ
aql ke yuuñ to chāroñ hī kuchh kachche haiñ
lekin ba.azī baat aisī kah jaate haiñ
amaañ baavā hairat meñ rah jaate haiñ
ik din bole aa kar apne abbū se
ham meñ se do kaun se vaale haiñ achchhe
in ko to schōl meñ dāḳhil karvā deñ
do ko vāpas allāh ke ghar pahuñchā deñ
balki chāroñ hī ko vāpas karvā deñ
aur ammī ko bahbūdgī meñ lagvā deñ
ghar meñ jab do do tanḳhvāheñ ā.eñgī
aap kī jebeñ noToñ se bhar jā.eñgī
ammī kā bhī muuD achchhā ho jā.egā
T.v kā bhī dil ThanDā ho jā.egā
mere dost ke chaar adad jo bachche hain
aql ke yun to chaaron hi kuchh kachche hain
lekin bazi baat aisi kah jate hain
aman bawa hairat mein rah jate hain
ek din bole aa kar apne abbu se
hum mein se do kaun se wale hain achchhe
in ko to school mein daKHil karwa den
do ko wapas allah ke ghar pahuncha den
balki chaaron hi ko wapas karwa den
aur ammi ko bahbudgi mein lagwa den
ghar mein jab do do tanKHwahen aaengi
aap ki jeben noTon se bhar jaengi
ammi ka bhi muD achchha ho jaega
Tw ka bhi dil ThanDa ho jaega
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 68)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.