dil mein ek lahr si uThi hai abhi
''dil meñ ik lahr sī uThī hai abhī''
ik ġhazal maiñ ne bhī kahī hai abhī
chhoḌ duuñ maiñ abhī vazārat kyuuñ
ik tijorī faqat bharī hai abhī
chor Daaku pahuñch ga.e pahle
jabki bastī nahīñ basī hai abhī
bank se lī thī lease par gaaḌī
bech kar qist ik bharī hai abhī
chhoḌ saktī nahīñ abhī vo mujhe
ek koThī mirī bachī hai abhī
jaag jā.egī qaum bhī ik din
''ġham na kar zindagī paḌī hai abhī''
dil mein ek lahr si uThi hai abhi
ek ghazal main ne bhi kahi hai abhi
chhoD dun main abhi wazarat kyun
ek tijori faqat bhari hai abhi
chor Daku pahunch gae pahle
jabki basti nahin basi hai abhi
bank se li thi lease par gaDi
bech kar qist ek bhari hai abhi
chhoD sakti nahin abhi wo mujhe
ek koThi meri bachi hai abhi
jag jaegi qaum bhi ek din
gham na kar zindagi paDi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.