bas ho chuka huzur ye parde haTaiye
bas ho chukā huzūr ye parde haTā.iye
sab muntazir haiñ sāmne tashrīf lā.iye
āvāz meñ to aap kī be-shak ḳhulūs hai
lekin zarā naqāb to ruḳh se haTā.iye
ham mānte haiñ aap baḌe ġham-gusār haiñ
lekin ye āstīn meñ kyā hai dikhā.iye
ab qāfile ke log bhī manzil-shanās haiñ
āḳhir kahāñ kā qasd hai khul kar batā.iye
bāda-kashoñ kī asl jagah mai-kade meñ hai
kis ne kahā ki aap bhī mimbar pe aa.iye
bas ho chuka huzur ye parde haTaiye
sab muntazir hain samne tashrif laiye
aawaz mein to aap ki be-shak KHulus hai
lekin zara naqab to ruKH se haTaiye
hum mante hain aap baDe gham-gusar hain
lekin ye aastin mein kya hai dikhaiye
ab qafile ke log bhi manzil-shanas hain
aaKHir kahan ka qasd hai khul kar bataiye
baada-kashon ki asl jagah mai-kade mein hai
kis ne kaha ki aap bhi mimbar pe aaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.