Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

post-man us but ka KHat lata nahin

Akhtar Shirani

post-man us but ka KHat lata nahin

Akhtar Shirani

post-man us but ḳhat laatā nahīñ

aur jo laatā hai paḌhā jaatā nahīñ

āshiqī se kyuuñ ham istīfā na deñ

hoTaloñ bil diyā jaatā nahīñ

shaiḳh-jī motor pe haj ko jā.iye

ahd-e-nau meñ uuñT kaam aatā nahīñ

bosa leñ us sarv-qad kis tarah

taar par ham se chaḌhā jaatā nahīñ

āshiqoñ par zulm karnā chhoḌ deñ

kyūñ-be qāsid ke samjhātā nahīñ

raat din farmā.isheñ zevar haiñ

ham se ab āshiq rahā jaatā nahīñ

jal ga.ī cigarette se dāḌhī shaiḳh

ye magar fashion se baaz aatā nahīñ

farbahī tanz kyuuñ mushtāq par

terī chakkī se to pisvātā nahīñ

fees pahle jab talak rakhvā na le

doctor apne bhī ghar jaatā nahīñ

baikarī meñ naukrī karnī paḌī

vo sivā.e cake kuchh khātā nahīñ

terī furqat meñ bahut faaqe kaTe

aa ki ab bhūkā rahā jaatā nahīñ

kab se hai mehmān ai hijr-e-yār

bhaa.ī mere ghar se kyuuñ jaatā nahīñ

o sitam-gar roknā motor zarā

mere ḳhachchar se chalā jaatā nahīñ

laundry kholī thī us ke ishq meñ

par vo kapḌe ham se dhulvātā nahīñ

hazrat-e-ibn-e-batuta ġhazal

zid ke maare vo sanam gaatā nahīñ

post-man us but ka KHat lata nahin

aur jo lata hai paDha jata nahin

aashiqi se kyun hum istifa na den

hoTalon ka bil diya jata nahin

shaiKH-ji motor pe haj ko jaiye

ahd-e-nau mein unT kaam aata nahin

bosa len us sarw-qad ka kis tarah

tar par hum se chaDha jata nahin

aashiqon par zulm karna chhoD den

kyun-be qasid ja ke samjhata nahin

raat din farmaishen zewar ki hain

hum se ab aashiq raha jata nahin

jal gai cigarette se daDhi shaiKH ki

ye magar fashion se baz aata nahin

farbahi ka tanz kyun mushtaq par

teri chakki se to piswata nahin

fees pahle jab talak rakhwa na le

doctor apne bhi ghar jata nahin

baikari mein naukri karni paDi

wo siwae cake kuchh khata nahin

teri furqat mein bahut faqe kaTe

aa ki ab bhuka raha jata nahin

kab se hai mehman tu ai hijr-e-yar

bhai mere ghar se kyun jata nahin

o sitam-gar rokna motor zara

mere KHachchar se chala jata nahin

laundry kholi thi us ke ishq mein

par wo kapDe hum se dhulwata nahin

hazrat-e-ibn-e-batuta ki ghazal

zid ke mare wo sanam gata nahin

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now