Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ka parcha

Dilawar Figar

ishq ka parcha

Dilawar Figar

mahv-e-hairat huuñ ki vo setter thā kitnā bā-kamāl

ishq ke baare meñ pūchhā jis ne parche meñ savāl

aise setter agar do chaar paidā ho ga.e

dekhnā is mulk meñ fankār paidā ho ga.e

aam hogī āshiqī collage ke arz-o-tūl meñ

lailā o majnūñ nazar ā.eñge ab schōl meñ

ishq ke ādāb laḌkoñ ko sikhā.e jā.eñge

ġhair-āshiq jo haiñ vo āshiq banā.e jā.eñge

āshiqoñ ko ilm meñ perfect samjhā jā.egā

ishq ik compulsory subject samjhā jā.egā

imtihāñ hogā to pūchhe jā.eñge aise savāl

apnī mahbūba ke baare meñ kuchh iz.hār-e-ḳhayāl

ishq ik science hai art samjhā kar likho

ye donoñ ishq haiñ part samjhā kar likho

aaj apne mulk meñ āshiq haiñ kitne fīsadī

muntahī in meñ haiñ kitne aur kitne mubtadī

kyā ta.alluq tibb-e-yūnānī ko hai rūmān se

compare farhād o majnūñ ko karo luqmān se

ishq kitne qism hotā hai likho bā-vasūq

zamāna kyā haiñ āshiq ke farā.ez aur huqūq

ek tahqīqī maqāla likh ke samjhāo ye baat

shāḳh-e-āhū par kyuuñ rahtī hai āshiq barāt

kuchh misāleñ de ke samjhāo ye qaul-e-mustanad

ishq avval dar-dil-e-ma.ashūq paidā shuad

sar ko kyā nisbat hai sañg-e-āstān-e-yār se

tum ne sar phoḌā kabhī ma.ashūq dīvār se

kyā sakūñ miltā hai dil ko āh-e-sho.ala-bār se

garm naale arsh par jaate haiñ kis raftār se

apne andāze se tūl-e-shām-e-tanhā.ī batāo

sirf taḳhmīnan shab-e-hijrāñ lambā.ī batāo

india ek naqsha apnī copy par banāo

aur phir us meñ hudūd-e-kūcha-e-jānāñ dikhāo

vasl darḳhvāst par kis sifārish chāhiye

ishq ke paude ko kitne inch bārish chāhiye

apnī mahbūba ko ik darḳhvāst english meñ likho

us se ye pūchho javāb-e-ārzū yes hai ki no

kaun se aale se dekheñ husn-e-jānāna likho

husn miqdār jo naape vo paimāna likho

mother-e-lailā ne to lailā na byāhī qais ko

tum agar lailā maañ hote to kyā karte likho

ek āshiq tiin din meñ chaltā hai unnīs miil

tiin āshiq kitne din meñ jā.eñge aḌtīs miil

aap kar sakte haiñ in meñ se koī bārah savāl

bad-ḳhatī ke pāñch number haiñ rahe ye bhī ḳhayāl

mahw-e-hairat hun ki wo setter tha kitna ba-kamal

ishq ke bare mein puchha jis ne parche mein sawal

aise hi setter agar do chaar paida ho gae

dekhna is mulk mein fankar paida ho gae

aam hogi aashiqi collage ke arz-o-tul mein

laila o majnun nazar aaenge ab school mein

ishq ke aadab laDkon ko sikhae jaenge

ghair-ashiq jo hain wo aashiq banae jaenge

aashiqon ko ilm mein perfect samjha jaega

ishq ek compulsory subject samjha jaega

imtihan hoga to puchhe jaenge aise sawal

apni mahbuba ke bare mein kuchh izhaar-e-KHayal

ishq ek science hai ya art samjha kar likho

ya ye donon ishq ka hain part samjha kar likho

aaj apne mulk mein aashiq hain kitne fisadi

muntahi in mein hain kitne aur kitne mubtadi

kya talluq tibb-e-yunani ko hai ruman se

compare farhad o majnun ko karo luqman se

ishq kitne qism ka hota hai likho ba-wasuq

fi zamana kya hain aashiq ke faraez aur huquq

ek tahqiqi maqala likh ke samjhao ye baat

shaKH-e-ahu par hi kyun rahti hai aashiq ki baraat

kuchh misalen de ke samjhao ye qaul-e-mustanad

ishq awwal dar-dil-e-mashuq paida mi shuad

sar ko kya nisbat hai sang-e-astan-e-yar se

tum ne sar phoDa kabhi mashuq ki diwar se

kya sakun milta hai dil ko aah-e-shoala-bar se

garm nale arsh par jate hain kis raftar se

apne andaze se tul-e-sham-e-tanhai batao

sirf taKHminan shab-e-hijran ki lambai batao

india ka ek naqsha apni copy par banao

aur phir us mein hudud-e-kucha-e-jaanan dikhao

wasl ki darKHwast par kis ki sifarish chahiye

ishq ke paude ko kitne inch barish chahiye

apni mahbuba ko ek darKHwast english mein likho

us se ye puchho jawab-e-arzu yes hai ki no

kaun se aale se dekhen husn-e-jaanana likho

husn ki miqdar jo nape wo paimana likho

mother-e-laila ne to laila na byahi qais ko

tum agar laila ki man hote to kya karte likho

ek aashiq tin din mein chalta hai unnis mil

tin aashiq kitne din mein jaenge aDtis mil

aap kar sakte hain in mein se koi barah sawal

bad-KHati ke panch number hain rahe ye bhi KHayal

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Dilawar Figar

Dilawar Figar

Source :
  • Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 86)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now