ikkiswin sadi ka aadmi
duniyā taraqqiyoñ pe hai ma.abūd kī qasam
insān kar rahā hai taraqqī qadam qadam
rakkheñge is tarah qad-e-bālā ko medium
lambe manush se bāñdh ke naaTe kī ab qalam
Dhal jā.eñge shabāb se pahle jo apne sin
gamloñ meñ bo.e jā.eñge bachche bhī ek din
insāñ ne āsmān pe qabza dikhā diyā
is aadmī ke ḳhuun ko us meñ chaḌhā diyā
aurat kā maġhz mard ke sar par lagā diyā
is tajribe ne qais ko lailā banā diyā
bīmār dil ke aap jo motor lagā.eñge
āshiq firāq-e-yār meñ bhoñpū bajā.eñge
kuchh din ke ba.ad aur kareñge taraqqiyāñ
laḌke baneñge Tiin ke shīshe kī laḌkiyāñ
sar par lagā.ī jā.eñgī diesel kī Tankiyāñ
starter kā kaam kareñgī dolattiyāñ
kuchh din ke ba.ad dekhnā smart ho gayā
cick mārne se aadmī start ho gayā
sciencī mojizāt, adāoñ meñ dekhnā
computeroñ kā kaam vafāoñ meñ dekhnā
pahiye lagā.e jā.eñge paañv meñ dekhnā
ābād hoñge shahr ḳhalāoñ meñ dekhnā
ustād apnā maan ke shā.er machine ko
goḌeñge tracktor se ġhazal kī zamīn ko
insān cartōn hai putlā hañsī kā hai
gurde hamāre, jism tirā, sar kisī kā hai
afsos kā maqām nahīñ hai ḳhushī kā hai
panDit ke sar meñ maġhz kisī maulvī kā hai
koshish bhī kar rahe haiñ hamīñ ittihād kī
insāñ jaḌoñ ko kaaT rahā hai fasād kī
faulād kī machine haqīqat batā.egī
kitnī hai tere dil meñ mohabbat batā.egī
kaise kaTegī ye shab-e-furqat batā.egī
jo haal hai shabāb kā hālat batā.egī
ab apnī aarzū se na ham ko dabā.eñge
ab laḌkiyoñ ke naḳhre creneñ uThā.eñge
heater se sho.ala husn kā bhaḌkāyā jā.egā
ab ishq bhī machine se farmāyā jā.egā
shauhar bhī ik machine hai samjhāyā jā.egā
āshiq ko bhī machine se taḌpāyā jā.egā
kuchh din ke ba.ad dekhnā sciencī den se
jannat ko bheje jā.eñge murde plane se
pūchheñge ham se log to ham kyā batā.eñge
kis shakl kā thā aadmī photo dikhā.eñge
bachchoñ ko madrasoñ meñ na murġhā banā.eñge
rocket banā ke un ko mudarris uḌā.eñge
deñge duā buzurg ye tifl-e-zahīn ko
beTā nazar lage na tumhārī machine ko
insān kyā thaa, bhuul na jaa.eñ aziiz log
insān aur machine meñ rakkheñ tamīz log
ban kar machine ho ga.e behad lazīz log
mumkin hai piiTh par likheñ horn-please log
'sāġhar' agar machine se yūñhī juḌeñge log
daa.eñ se baa.eñ haath dikhā kar muḌeñge log
computeroñ se jā ke mahūrat le ā.eñge
bhagvān ke bhajan bhī recorder sunā.eñge
panDit bechāre roTiyāñ kis shai kī khā.eñge
mandir meñ ḳhālī baiTh ke ghanTa bajā.eñge
matlab rahegā koī na mullā ke diin se
paḌh leñge log ghar pe namāzeñ machine se
jab se huzūr ye kaleñ ījād ho ga.iiñ
kitnī kalā.eñ haath kī barbād ho ga.iiñ
ġhunDoñ ke ghar chalī ga.iiñ ābād ho ga.iiñ
kitnī hī laḌkiyāñ yahāñ nāshād ho ga.iiñ
ḳhat āshiqī ke likhtī nahīñ dil ke ḳhuun se
milne kā va.ada kartī haiñ ab telephone se
ta.alīm de rahe haiñ to vo bhī machine se
paate haiñ ab sazā.eñ bhī qaidī machine se
maanā ki kaam hotā hai jaldī machine se
mazdūr kī ḳharāb hai miTTī machine se
motor hai jin ke paas vo ahl-e-yaqīn haiñ
paidal haiñ jitne log vo kauḌī ke tiin haiñ
duniya taraqqiyon pe hai mabud ki qasam
insan kar raha hai taraqqi qadam qadam
rakkhenge is tarah qad-e-baala ko medium
lambe manush se bandh ke naTe ki ab qalam
Dhal jaenge shabab se pahle jo apne sin
gamlon mein boe jaenge bachche bhi ek din
insan ne aasman pe qabza dikha diya
is aadmi ke KHun ko us mein chaDha diya
aurat ka maghz mard ke sar par laga diya
is tajribe ne qais ko laila bana diya
bimar dil ke aap jo motor lagaenge
aashiq firaq-e-yar mein bhonpu bajaenge
kuchh din ke baad aur karenge taraqqiyan
laDke banenge Tin ke shishe ki laDkiyan
sar par lagai jaengi diesel ki Tankiyan
starter ka kaam karengi dolattiyan
kuchh din ke baad dekhna smart ho gaya
cick marne se aadmi start ho gaya
scienci mojizat, adaon mein dekhna
computeron ka kaam wafaon mein dekhna
pahiye lagae jaenge panw mein dekhna
aabaad honge shahr KHalaon mein dekhna
ustad apna man ke shaer machine ko
goDenge tracktor se ghazal ki zamin ko
insan cartoon hai putla hansi ka hai
gurde hamare, jism tira, sar kisi ka hai
afsos ka maqam nahin hai KHushi ka hai
panDit ke sar mein maghz kisi maulwi ka hai
koshish bhi kar rahe hain hamin ittihad ki
insan jaDon ko kaT raha hai fasad ki
faulad ki machine haqiqat bataegi
kitni hai tere dil mein mohabbat bataegi
kaise kaTegi ye shab-e-furqat bataegi
jo haal hai shabab ka haalat bataegi
ab apni aarzu se na hum ko dabaenge
ab laDkiyon ke naKHre crenen uThaenge
heater se shoala husn ka bhaDkaya jaega
ab ishq bhi machine se farmaya jaega
shauhar bhi ek machine hai samjhaya jaega
aashiq ko bhi machine se taDpaya jaega
kuchh din ke baad dekhna scienci den se
jannat ko bheje jaenge murde plane se
puchhenge hum se log to hum kya bataenge
kis shakl ka tha aadmi photo dikhaenge
bachchon ko madrason mein na murgha banaenge
rocket bana ke un ko mudarris uDaenge
denge dua buzurg ye tifl-e-zahin ko
beTa nazar lage na tumhaari machine ko
insan kya tha, bhul na jaen aziz log
insan aur machine mein rakkhen tamiz log
ban kar machine ho gae behad laziz log
mumkin hai piTh par likhen horn-please log
'saghar' agar machine se yunhi juDenge log
daen se baen hath dikha kar muDenge log
computeron se ja ke mahurat le aaenge
bhagwan ke bhajan bhi recorder sunaenge
panDit bechaare roTiyan kis shai ki khaenge
mandir mein KHali baiTh ke ghanTa bajaenge
matlab rahega koi na mulla ke din se
paDh lenge log ghar pe namazen machine se
jab se huzur ye kalen ijad ho gain
kitni kalaen hath ki barbaad ho gain
ghunDon ke ghar chali gain aabaad ho gain
kitni hi laDkiyan yahan nashad ho gain
KHat aashiqi ke likhti nahin dil ke KHun se
milne ka wada karti hain ab telephone se
talim de rahe hain to wo bhi machine se
pate hain ab sazaen bhi qaidi machine se
mana ki kaam hota hai jaldi machine se
mazdur ki KHarab hai miTTi machine se
motor hai jin ke pas wo ahl-e-yaqin hain
paidal hain jitne log wo kauDi ke tin hain
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 223)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.