Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kucha-e-yar mein maine jo jabin-sai ki

Zia-ul-Haq Qasmi

kucha-e-yar mein maine jo jabin-sai ki

Zia-ul-Haq Qasmi

kūcha-e-yār meñ maiñ ne jo jabīñ-sā.ī

us ke abbā ne mirī ḳhuub pazīrā.ī

maiñ to samjhā thā ki vo shaḳhs masīhā hogā

us ne par sirf mirī tāra-masīhā.ī

us ke ghar pe raqīboñ se mulāqāt huī

kyā sunā.ūñ maiñ kahānī tujhe paspā.ī

mere taayā se vo haiñ umr meñ das saal baḌī

ghar ke har fard pe dahshat hai mirī taa.ī

sar khujāte jo rahe nāḳhun-e-tadbīr se ham

phir zarūrat na rahī ham ko kisī naa.ī

vo bharī bazm meñ kahtī hai mujhe uncle-jī

diplomacy hai ye kaisī mirī ham-sā.ī

kuchh to badnām the ishq-e-butāñ meñ ham log

kuchh raqīboñ ne bahut hāshiya-ārā.ī

raat hujre meñ ilāqe police ghus aa.ī

baat to sach hai magar baat hai rusvā.ī

maiñ jise hiir samajhtā thā vo rāñjhā niklā

baat nīyat nahīñ baat hai bīnā.ī

kucha-e-yar mein main ne jo jabin-sai ki

us ke abba ne meri KHub pazirai ki

main to samjha tha ki wo shaKHs masiha hoga

us ne par sirf meri tara-masihai ki

us ke ghar pe hi raqibon se mulaqat hui

kya sunaun main kahani tujhe paspai ki

mere taya se wo hain umr mein das sal baDi

ghar ke har fard pe dahshat hai meri tai ki

sar khujate jo rahe naKHun-e-tadbir se hum

phir zarurat na rahi hum ko kisi nai ki

wo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji

diplomacy hai ye kaisi meri ham-sai ki

kuchh to badnam hi the ishq-e-butan mein hum log

kuchh raqibon ne bahut hashiya-arai ki

raat hujre mein ilaqe ki police ghus aai

baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla

baat niyat ki nahin baat hai binai ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now