wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke
wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
vo sola ke hoñ pachchis ke hoñ yā puure pachhattar ke
muannas hī paḌe rahte haiñ ḳhud pīchhe muzakkar ke
jo un ke ishq ke chakkar meñ aa.eñ vo to rahte haiñ
na pūrab ke na pachchhim ke na dakhkhin ke na uttar ke
bahāne-bāz haiñ makkār haiñ jhūTe haiñ shātir haiñ
mile haiñ ab kahīñ jā kar unheñ ushshāq Takkar ke
jahāñ se chāhte haiñ ḳhuub vo bose churāte haiñ
ki un ke ghar ke machchhar bhī sikandar haiñ muqaddar ke
hamāre shaiḳh jī phir se shifā-ḳhāne meñ dāḳhil haiñ
bahut aḳhlāq ke qaa.il hue haiñ ek sister ke
hifāzat jism-o-jāñ kī bhī zarūrī hai mohabbat meñ
qadam kūche meñ rakhtā huuñ tire abbā se Dar Dar ke
unheñ aadat nahīñ hai lū-lapaT meñ pyaar karne kī
ginā karte haiñ ab 'masrūr' din māh-e-december ke
wo sola ke hon pachchis ke hon ya pure pachhattar ke
muannas hi paDe rahte hain KHud pichhe muzakkar ke
jo un ke ishq ke chakkar mein aaen wo to rahte hain
na purab ke na pachchhim ke na dakhkhin ke na uttar ke
bahane-baz hain makkar hain jhuTe hain shatir hain
mile hain ab kahin ja kar unhen ushshaq Takkar ke
jahan se chahte hain KHub wo bose churaate hain
ki un ke ghar ke machchhar bhi sikandar hain muqaddar ke
hamare shaiKH ji phir se shifa-KHane mein daKHil hain
bahut aKHlaq ke qail hue hain ek sister ke
hifazat jism-o-jaan ki bhi zaruri hai mohabbat mein
qadam kuche mein rakhta hun tere abba se Dar Dar ke
unhen aadat nahin hai lu-lapaT mein pyar karne ki
gina karte hain ab 'masrur' din mah-e-december ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.