Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hu.ii rain chandan kaa palnaa jhulaa.uu.n

Nasriin Syed

hu.ii rain chandan kaa palnaa jhulaa.uu.n

Nasriin Syed

MORE BYNasriin Syed

    hu.ii rain chandan kaa palnaa jhulaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    sadaa jaaduu-nagrii ke dekhe tuu sapne

    bhare phuul KHushiyo.n ke daaman me.n apne

    mohabbat se tujh ko sa.nvaaruu.n sajaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tuu nuur-e-nazar hai tuu ghar kaa ujaalaa

    bahut naaz se hai tujhe mai.n ne paalaa

    mire chaa.nd tujh pe sadaa vaarii jaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tuu jhuulaa dhanak kaa mire laal jhuule

    ba.Daa ho ke tuu kahkashaa.o.n ko chhuu le

    sitaare tire khelne ko mai.n laa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tire vaaste hai.n mirii sab du'aa.e.n

    hamesha rahe.n duur tujh se balaa.e.n

    hu.ii rain chandan kaa palnaa jhulaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    sadaa jaaduu-nagrii ke dekhe tuu sapne

    bhare phuul KHushiyo.n ke daaman me.n apne

    mohabbat se tujh ko sa.nvaaruu.n sajaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tuu nuur-e-nazar hai tuu ghar kaa ujaalaa

    bahut naaz se hai tujhe mai.n ne paalaa

    mire chaa.nd tujh pe sadaa vaarii jaa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tuu jhuulaa dhanak kaa mire laal jhuule

    ba.Daa ho ke tuu kahkashaa.o.n ko chhuu le

    sitaare tire khelne ko mai.n laa.uu.n

    mire laaDle tujh ko lorii sunaa.uu.n

    tire vaaste hai.n mirii sab du'aa.e.n

    hamesha rahe.n duur tujh se balaa.e.n

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now