charagh gul kiye baiTha hun dil-jalon ki tarah
charāġh gul kiye baiThā huuñ dil-jaloñ kī tarah
maiñ apne ghar meñ huuñ lekin musāfiroñ kī tarah
nishān jis kī salāsil ke mere jism pe haiñ
ulajh paḌā huuñ usī se maiñ sar-phiroñ kī tarah
ma.āl-e-kār-e-garebāñ pe haath jā pohñchā
maiñ jī sakā na bahut der be-diloñ kī tarah
jo ḳhāk-e-rah kī tarah mujh ko rauñd rauñd gayā
usī ke paaoñ se ubhrā huuñ ābloñ kī tarah
vo jis ke naġhmoñ se mā'mūr thī fazā saarī
vo bas gayā mire kānoñ meñ āhaToñ kī tarah
havā chalī thī kuchh aisī amaañ na miltī thī
hue the shahr bhī sunsān jangaloñ kī tarah
jahāñ se māñgtī phirtī haiñ ab suhāg kī bhiik
vo vādiyāñ ki damaktī thiiñ dulhanoñ kī tarah
ye rāste kabhī be-nūr ho nahīñ sakte
daraḳht jalte haiñ 'shahzād' mash'aloñ kī tarah
charagh gul kiye baiTha hun dil-jalon ki tarah
main apne ghar mein hun lekin musafiron ki tarah
nishan jis ki salasil ke mere jism pe hain
ulajh paDa hun usi se main sar-phiron ki tarah
maal-e-kar-e-gareban pe hath ja pohncha
main ji saka na bahut der be-dilon ki tarah
jo KHak-e-rah ki tarah mujh ko raund raund gaya
usi ke paon se ubhra hun aablon ki tarah
wo jis ke naghmon se ma'mur thi faza sari
wo bas gaya mere kanon mein aahaTon ki tarah
hawa chali thi kuchh aisi aman na milti thi
hue the shahr bhi sunsan jangalon ki tarah
jahan se mangti phirti hain ab suhag ki bhik
wo wadiyan ki damakti thin dulhanon ki tarah
ye raste kabhi be-nur ho nahin sakte
daraKHt jalte hain 'shahzad' mash'alon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.