unki nazron mein mujassam dil hua jata hun main
un kī nazroñ meñ mujassam dil huā jaatā huuñ maiñ
ab to ḳhud hī naaz ke qābil huā jaatā huuñ maiñ
jazb hotā jā rahā hai mujh meñ jalva husn kā
aap hī sham’-e-sar-e-mahfil huā jaatā huuñ maiñ
ek aañsū meñ Dhalī jaatī hai saarī zindagī
dāman-e-jānāñ tire qābil huā jaatā huuñ maiñ
ḳhvāb-āsā zulf-e-shab-gūñ shabnam-āsā chashm-e-nāz
aaj tere husn kā qaa.il huā jaatā huuñ maiñ
ab to mujh ko hālat-e-dil par hañsī aane lagī
ab to tere rahm ke qābil huā jaatā huuñ maiñ
chūmtā hai ye mire qadmoñ ko kis kā āstāñ
kis harīm-e-nāz meñ dāḳhil huā jaatā huuñ maiñ
un ki nazron mein mujassam dil hua jata hun main
ab to KHud hi naz ke qabil hua jata hun main
jazb hota ja raha hai mujh mein jalwa husn ka
aap hi sham’-e-sar-e-mahfil hua jata hun main
ek aansu mein Dhali jati hai sari zindagi
daman-e-jaanan tere qabil hua jata hun main
KHwab-asa zulf-e-shab-gun shabnam-asa chashm-e-naz
aaj tere husn ka qail hua jata hun main
ab to mujh ko haalat-e-dil par hansi aane lagi
ab to tere rahm ke qabil hua jata hun main
chumta hai ye mere qadmon ko kis ka aastan
kis harim-e-naz mein daKHil hua jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.