zindagi kya hai ek kahani hai
zindagī kyā hai ik kahānī hai
ye kahānī nahīñ sunānī hai
hai ḳhudā bhī ajiib ya.anī jo
na zamīnī na āsmānī hai
hai mire shauq-e-vasl ko ye gila
us kā pahlū sarā-e-fānī hai
apnī tāmīr-e-jān-o-dil ke liye
apnī buniyād ham ko Dhānī hai
ye hai lamhoñ kā ek shahr-e-azal
yaañ kī har baat nā-gahānī hai
chaliye ai jān-e-shām aaj tumheñ
sham.a ik qabr par jalānī hai
rañg kī apnī baat hai varna
āḳhirash ḳhuun bhī to paanī hai
ik abas kā vajūd hai jis se
zindagī ko murād paanī hai
shaam hai aur sahn meñ dil ke
ik ajab huzn-e-āsmānī hai
zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
hai KHuda bhi ajib yani jo
na zamini na aasmani hai
hai mere shauq-e-wasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai
apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye
apni buniyaad hum ko Dhani hai
ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yan ki har baat na-gahani hai
chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein
shama ek qabr par jalani hai
rang ki apni baat hai warna
aaKHirash KHun bhi to pani hai
ek abas ka wajud hai jis se
zindagi ko murad pani hai
sham hai aur sahn mein dil ke
ek ajab huzn-e-asmani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.