zaḳhm nāsūr koī hone se
dard ugtā hai dard bone se
vo thā markūz mere markaz par
aur udhaḌtā rahā maiñ kone se
chalo ab hañs ke dekh lete haiñ
dil pighalte nahīñ haiñ rone se
ise ham suud ab kaheñ yā ziyāñ
mil gayā ḳhvāb niiñd khone se
vo añdheroñ meñ hī rahe āḳhir
bujh ga.e jo charāġh Dhone se
din meñ bhī raat kā samāñ hogā
jāgte meñ yuuñ sab ke sone se
merī miTTī hai ab talak kachchī
ghul na jā.ūñ kahīñ bhigone se
ab samundar nipaT akelā hai
kyā milā kashtiyāñ Dubone se
mere saa.e se ye bhī zāhir hai
nuur haa.il hai mere hone se
zaKHm nasur koi hone se
dard ugta hai dard bone se
wo tha markuz mere markaz par
aur udhaDta raha main kone se
chalo ab hans ke dekh lete hain
dil pighalte nahin hain rone se
ise hum sud ab kahen ya ziyan
mil gaya KHwab nind khone se
wo andheron mein hi rahe aaKHir
bujh gae jo charagh Dhone se
din mein bhi raat ka saman hoga
jagte mein yun sab ke sone se
meri miTTi hai ab talak kachchi
ghul na jaun kahin bhigone se
ab samundar nipaT akela hai
kya mila kashtiyan Dubone se
mere sae se ye bhi zahir hai
nur hail hai mere hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.