rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi
rasta bhī kaThin dhuup meñ shiddat bhī bahut thī
saa.e se magar us ko mohabbat bhī bahut thī
ḳheme na koī mere musāfir ke jalā.e
zaḳhmī thā bahut paañv masāfat bhī bahut thī
sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the
din meñ to safar karne meñ diqqat bhī bahut thī
bārish kī duāoñ meñ namī aañkh kī mil jaa.e
jazbe kī kabhī itnī rifāqat bhī bahut thī
kuchh to tire mausam hī mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirī miTTī meñ baġhāvat bhī bahut thī
phūloñ kā bikharnā to muqaddar hī thā lekin
kuchh is meñ havāoñ kī siyāsat bhī bahut thī
vo bhī sar-e-maqtal hai ki sach jis kā thā shāhid
aur vāqif-e-ahvāl-e-adālat bhī bahut thī
is tark-e-rifāqat pe pareshāñ to huuñ lekin
ab tak ke tire saath pe hairat bhī bahut thī
ḳhush aa.e tujhe shahr-e-munāfiq kī amīrī
ham logoñ ko sach kahne kī aadat bhī bahut thī
rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi
sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
KHeme na koi mere musafir ke jalae
zaKHmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi
sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae
aur kuchh meri miTTi mein baghawat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi
wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin
ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi
KHush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.