main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
maiñ kahāñ huuñ kuchh batā de zindagī ai zindagī!
phir sadā apnī sunā de zindagī ai zindagī!
so ga.e ik ek kar ke ḳhāna-e-dil ke charāġh
in charāġhoñ ko jagā de zindagī ai zindagī!
vo bisāt-e-sher-o-naġhma ratjage vo chahchahe
phir vahī mahfil sajā de zindagī ai zindagī!
jis ke har qatre se rag rag meñ machaltā thā lahū
phir vahī ik shai pilā de zindagī ai zindagī!
ab to yaad aatā nahīñ kaisā thā apnā rañg-rūp
phir mirī sūrat dikhā de zindagī ai zindagī!
ek muddat ho ga.ī rūThā huuñ apne-āp se
phir mujhe mujh se milā de zindagī ai zindagī!
jaane bargashta hai kyuuñ mujh se zamāne kī havā
apne dāman kī havā de zindagī ai zindagī!
rach gayā hai merī nas nas meñ mirī rātoñ kā zahr
mere sūraj ko bulā de zindagī ai zindagī!
main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!
so gae ek ek kar ke KHana-e-dil ke charagh
in charaghon ko jaga de zindagi ai zindagi!
wo bisat-e-sher-o-naghma ratjage wo chahchahe
phir wahi mahfil saja de zindagi ai zindagi!
jis ke har qatre se rag rag mein machalta tha lahu
phir wahi ek shai pila de zindagi ai zindagi!
ab to yaad aata nahin kaisa tha apna rang-rup
phir meri surat dikha de zindagi ai zindagi!
ek muddat ho gai ruTha hun apne-ap se
phir mujhe mujh se mila de zindagi ai zindagi!
jaane bargashta hai kyun mujh se zamane ki hawa
apne daman ki hawa de zindagi ai zindagi!
rach gaya hai meri nas nas mein meri raaton ka zahr
mere suraj ko bula de zindagi ai zindagi!
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 36)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.