kya hua kuchh to batana kya hua
kyā huā kuchh to batānā kyā huā
dil kā duniyā se lagānā kyā huā
sochtā huuñ baiTh kar maiñ ye kabhī
ham se pahle kā zamāna kyā huā
jā rahe ho chhoḌ kar ghar 'ālī-shān
aap kā ye ghar basānā kyā huā
haar kar haarā huā lagtā nahīñ
terā mujh se jiit jaanā kyā huā
so rahe ho ḳhaak oḌhe kyuuñ 'mujīb'
aap kā ārām-ḳhāna kyā huā
kya hua kuchh to batana kya hua
dil ka duniya se lagana kya hua
sochta hun baiTh kar main ye kabhi
hum se pahle ka zamana kya hua
ja rahe ho chhoD kar ghar 'ali-shan
aap ka ye ghar basana kya hua
haar kar haara hua lagta nahin
tera mujh se jit jaana kya hua
so rahe ho KHak oDhe kyun 'mujib'
aap ka aaram-KHana kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.