kuchh meri sun kuchh apni suna zindagi
kuchh mirī sun kuchh apnī sunā zindagī
dard-e-dil aur thoḌā baḌhā zindagī
zindagānī ke fan se huuñ lā-ilm maiñ
zindagī karnā mujh ko sikhā zindagī
tū ne ab tak vafā kī bahut shukriya
shukriya shukriya shukriya zindagī
har qadam Thokareñ zaḳhm har gaam haiñ
kab talak duuñ batā ḳhūñ-bahā zindagī
ye kyā har gaam bas lan-tarānī vahī
giit koī nayā gungunā zindagī
ye bhī batlā zarā tujh ko kaisā lagā
maut se jab huā sāmnā zindagī
raushnī kyuuñ siyāhī meñ Dhalne lagī
tujh se 'ārif' huī kyā ḳhafā zindagī
kuchh meri sun kuchh apni suna zindagi
dard-e-dil aur thoDa baDha zindagi
zindagani ke fan se hun la-ilm main
zindagi karna mujh ko sikha zindagi
tu ne ab tak wafa ki bahut shukriya
shukriya shukriya shukriya zindagi
har qadam Thokaren zaKHm har gam hain
kab talak dun bata KHun-baha zindagi
ye kya har gam bas lan-tarani wahi
git koi naya gunguna zindagi
ye bhi batla zara tujh ko kaisa laga
maut se jab hua samna zindagi
raushni kyun siyahi mein Dhalne lagi
tujh se 'arif' hui kya KHafa zindagi
- Book : Khushboo Ke Ta'aqub main (Pg. 44)
- Author : Dr. Arif Ansari
- Publication : Faazli Urdu Society,Burhanpur (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.