Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki qaid se aazad raha

Maqsood khan Alig

ishq ki qaid se aazad raha

Maqsood khan Alig

MORE BYMaqsood khan Alig

    'ishq qaid se āzād rahā

    ho ke ābād bhī barbād rahā

    sirf marne ke liye jiinā thā

    ye sabaq tujh ko kahāñ yaad rahā

    'ishq naam faqat baaqī hai

    kaun ab duniyā meñ farhād rahā

    al-ġharaz 'umr merī biit ga.ī

    kabhī ġhamgīn kabhī shaad rahā

    kaisī ummīd lagā.ūñ gul se

    bāġhbāñ ban ke jo sayyād rahā

    jis ne saa.e ko sadā 'aam kiyā

    muddatoñ vo shajar ābād rahā

    ek mohsin ko bhulāyā 'maqsūd'

    ek zālim mujhe yaad rahā

    'ishq ki qaid se aazad raha

    ho ke aabaad bhi barbaad raha

    sirf marne ke liye jina tha

    ye sabaq tujh ko kahan yaad raha

    'ishq ka nam faqat baqi hai

    kaun ab duniya mein farhad raha

    al-gharaz 'umr meri bit gai

    kabhi ghamgin kabhi shad raha

    kaisi ummid lagaun gul se

    baghban ban ke jo sayyaad raha

    jis ne sae ko sada 'am kiya

    muddaton wo shajar aabaad raha

    ek mohsin ko bhulaya 'maqsud'

    ek zalim hi mujhe yaad raha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now