har ek gham nichoD ke har ek baras jiye
har ek ġham nichoḌ ke har ik baras jiye
do din kī zindagī meñ hazāroñ baras jiye
sadiyoñ pe iḳhtiyār nahīñ thā hamārā dost
do chaar lamhe bas meñ the do chaar bas jiye
sahrā ke us taraf se ga.e saare kārvāñ
sun sun ke ham to sirf sadā-e-jaras jiye
hoñToñ meñ le ke raat ke āñchal kā ik sirā
āñkhoñ pe rakh ke chāñd ke hoñToñ kā mas jiye
mahdūd haiñ duā.eñ mire iḳhtiyār meñ
har saañs pur-sukūn ho tū sau baras jiye
har ek gham nichoD ke har ek baras jiye
do din ki zindagi mein hazaron baras jiye
sadiyon pe iKHtiyar nahin tha hamara dost
do chaar lamhe bas mein the do chaar bas jiye
sahra ke us taraf se gae sare karwan
sun sun ke hum to sirf sada-e-jaras jiye
honTon mein le ke raat ke aanchal ka ek sira
aankhon pe rakh ke chand ke honTon ka mas jiye
mahdud hain duaen mere iKHtiyar mein
har sans pur-sukun ho tu sau baras jiye
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 178)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.