aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
aañkh meñ paanī rakho hoñToñ pe chingārī rakho
zinda rahnā hai to tarkībeñ bahut saarī rakho
raah ke patthar se baḌh kar kuchh nahīñ haiñ manzileñ
rāste āvāz dete haiñ safar jaarī rakho
ek hī naddī ke haiñ ye do kināre dosto
dostāna zindagī se maut se yaarī rakho
aate jaate pal ye kahte haiñ hamāre kaan meñ
kuuch kā ailān hone ko hai tayyārī rakho
ye zarūrī hai ki āñkhoñ kā bharam qaa.em rahe
niind rakho yā na rakho ḳhvāb meyārī rakho
ye havā.eñ uḌ na jaa.eñ le ke kāġhaz kā badan
dosto mujh par koī patthar zarā bhārī rakho
le to aa.e shā.irī bāzār meñ 'rāhat' miyāñ
kyā zarūrī hai ki lahje ko bhī bāzārī rakho
aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se baDh kar kuchh nahin hain manzilen
raste aawaz dete hain safar jari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein
kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakho ya na rakho KHwab meyari rakho
ye hawaen uD na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
le to aae shairi bazar mein 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.