Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zehn-o-KHayal se koi chehra na ja saka

Tariq Qamar

zehn-o-KHayal se koi chehra na ja saka

Tariq Qamar

zehn-o-ḳhayāl se koī chehra na sakā

aur us ke aage ham se bhī sochā na sakā

ik jaan thī jo nazr guzārī na sakī

ik qarz thā jo ham se utārā na sakā

ham ne hazār jashn sahar ke manā liye

aur bām-o-dar se raat saaya na sakā

kitne tabāh hoñge ham ik shaḳhs ke liye

ḳhud se kabhī savāl ye pūchhā na sakā

kuchh pal ko ho gayā thā maiñ bhaḌkā huā charāġh

kuchh der āñdhiyoñ se bhī sambhlā na sakā

bas ik laraztā haath mire hoñT gayā

aur phir tamām zindagī bolā na sakā

ham us ko saarī umr uThā.e phirā kiye

jo baar 'mīr' se bhī uThāyā na sakā

'tāriq' ye dil bhī hai ḳhat-e-taqdīr tarah

ham ḳhud badal ga.e ise badlā na sakā

zehn-o-KHayal se koi chehra na ja saka

aur us ke aage hum se bhi socha na ja saka

ek jaan thi jo nazr guzari na ja saki

ek qarz tha jo hum se utara na ja saka

hum ne hazar jashn sahar ke mana liye

aur baam-o-dar se raat ka saya na ja saka

kitne tabah honge hum ek shaKHs ke liye

KHud se kabhi sawal ye puchha na ja saka

kuchh pal ko ho gaya tha main bhaDka hua charagh

kuchh der aandhiyon se bhi sambhla na ja saka

bas ek larazta hath mere honT si gaya

aur phir tamam zindagi bola na ja saka

hum us ko sari umr uThae phira kiye

jo bar 'mir' se bhi uThaya na ja saka

'tariq' ye dil bhi hai KHat-e-taqdir ki tarah

hum KHud badal gae ise badla na ja saka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now