zamin nahin ye meri aasman nahin mera
zamīñ nahīñ ye mirī āsmāñ nahīñ merā
matā-e-ḳhvāb ba-juz kuchh yahāñ nahīñ merā
ye uuñT aur kisī ke haiñ dasht merā hai
savār mere nahīñ sār-bāñ nahīñ merā
mujhe tumhāre tayaqqun se ḳhauf aatā hai
ki is yaqīn meñ shāmil gumāñ nahīñ merā
maiñ ho gayā huuñ ḳhud apne safar se begāna
ki niiñd merī hai ḳhvāb-e-ravāñ nahīñ merā
to aab o ḳhaak se bach kar kidhar ko jaatā maiñ
davām-e-vasl hai baaqī nishāñ nahīñ merā
phir ek din usī miTTī ko lauT jā.ūñgā
gurez tujh se rah-e-raftagāñ nahīñ merā
sadā-e-shahr-e-guzishta abhī bulātī hai
go ab aziiz koī bhī vahāñ nahīñ merā
zamin nahin ye meri aasman nahin mera
mata-e-KHwab ba-juz kuchh yahan nahin mera
ye unT aur kisi ke hain dasht mera hai
sawar mere nahin sar-ban nahin mera
mujhe tumhaare tayaqqun se KHauf aata hai
ki is yaqin mein shamil guman nahin mera
main ho gaya hun KHud apne safar se begana
ki nind meri hai KHwab-e-rawan nahin mera
to aab o KHak se bach kar kidhar ko jata main
dawam-e-wasl hai baqi nishan nahin mera
phir ek din usi miTTi ko lauT jaunga
gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera
sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai
go ab aziz koi bhi wahan nahin mera
- Book : Gaflat ke baraabar (Pg. 60)
- Author : abraar ahmad
- Publication : Mavra Books,Lahore (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.