zaKHm jhele dagh bhi khae bahut
zaḳhm jhele daaġh bhī khaa.e bahut
dil lagā kar ham to pachhtā.e bahut
jab na tab jāgah se tum jaayā kiye
ham to apnī or se aa.e bahut
dair se sū-e-haram aayā na Tuk
ham mizāj apnā idhar laa.e bahut
phuul gul shams o qamar saare hī the
par hameñ in meñ tumhīñ bhaa.e bahut
gar bukā is shor se shab ko hai to
roveñge sone ko ham-sā.e bahut
vo jo niklā sub.h jaise āftāb
rashk se gul phuul murjhā.e bahut
'mīr' se pūchhā jo maiñ āshiq ho tum
ho ke kuchh chupke se sharmā.e bahut
zaKHm jhele dagh bhi khae bahut
dil laga kar hum to pachhtae bahut
jab na tab jagah se tum jaya kiye
hum to apni or se aae bahut
dair se su-e-haram aaya na Tuk
hum mizaj apna idhar lae bahut
phul gul shams o qamar sare hi the
par hamein in mein tumhin bhae bahut
gar buka is shor se shab ko hai to
rowenge sone ko ham-sae bahut
wo jo nikla subh jaise aaftab
rashk se gul phul murjhae bahut
'mir' se puchha jo main aashiq ho tum
ho ke kuchh chupke se sharmae bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.