zaKHm-e-dil par bahaar dekha hai
zaḳhm-e-dil par bahār dekhā hai
kyā ajab lāla-zār dekhā hai
jin ke dāman meñ kuchh nahīñ hotā
un ke sīnoñ meñ pyaar dekhā hai
ḳhaak uḌtī hai terī galiyoñ meñ
zindagī kā vaqār dekhā hai
tishnagī hai sadaf ke hoñToñ par
gul kā siina figār dekhā hai
sāqiyā! ehtimām-e-bāda kar
vaqt ko sogvār dekhā hai
jazba-e-ġham kī ḳhair ho 'sāġhar'
hasratoñ par nikhār dekhā hai
zaKHm-e-dil par bahaar dekha hai
kya ajab lala-zar dekha hai
jin ke daman mein kuchh nahin hota
un ke sinon mein pyar dekha hai
KHak uDti hai teri galiyon mein
zindagi ka waqar dekha hai
tishnagi hai sadaf ke honTon par
gul ka sina figar dekha hai
saqiya! ehtimam-e-baada kar
waqt ko sogwar dekha hai
jazba-e-gham ki KHair ho 'saghar'
hasraton par nikhaar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.